Shorthand Exam Vs Competitive Exams, Aaj kal 100 mai se 90% students  competitive exams ke Piche bhaag rahe hai. 




Bachelor Arts, B.Com, M.Com, MA, B.Tech, PHD karne ke baad har students competitive exam ki tyari karna shuru kar deta hai.



Kisi Kisi ko hi pata hota hai ki humne kon c direction pakadni hai, Bahut students bina life par focus kiye tyari karni shuru kar dete hai, unko yeh pata hi nahi hota ki humne life mai kya banna hai.

Unko bas yeh pata hota hai humne sarkari nokri leni hai chahe woh Peon ki kyu naa ho.

Kisi ko life mai sahi direction dena bahut zaruri hai, unhe guide karna bahut zaruri hai ki aap kon c line pakde jise karke aap life mai successful ho sakte hai.


Mai apko Shorthand aur Competitive Exam ke baare mai explanation dena chahta hoon, jitna aaj tak maine dekha hai.

Kya difference hai Shorthand and Competitive Exam mai.


Competitive Exams



Punjab ki agar baat karu toh 90% students iske piche bhaag rahe hai, bina focus kiye tyari kar rahe hai aur result yeh milta hai woh merit mai bahut piche reh jate hai. 

Aur demotivate hokar apni direction change karke kisi aur exam ki tyari karna shuru kar dete hai. 

Kabhi Clerk, Court Clerk, Senior Assistant, IAS, PCS, Manager, Banking Sector, Other written exams etc.. tyari karna shuru kar dete hai. Iska chahe pattern same hota hai par woh yeh samaj nahi pate ki har roz lakho students graduate ho rahe hai. Aur competition increase ho raha hai.

Baar baar line change karte hai ki kisi tarah hum successful ho jaye, ya phir kisi ko dekha dekhi karte hai ki hamari bhi sarkari nokri lag jaye. 
Isi dekha dekhi mai apne life ka keemti time waste kar dete hai yeh sochkar kabhi toh merit mai no aa hi jayega, par reality yeh hoti hai usme se kuch students hi job le paate hai.

Competition in Competitive Exams





Competitive exam mai bahut competition hai, suppose agar 50 post nikli hai Senior Assistant ki toh iske liye 10,000 students ne exam fill kiya hai.

Iska andaza aap khud laga le ki 10,000 students mai se woh job lekar jayega jo top merit par hoga, means ki apke chance sirf 1% hai job lagne ke.



Aisa sirf isme hi nahi har competitive paper mai hai, clerk ki baat karu toh 500 post ke pichle 1 Lakh students paper bhrte hai aur unme se sirf top merit par aane walo ki hi job lagti hai.

Jisne simple BA ki hai, woh bahut hi kam students hote hai jo exam pass karke merit mai aate hai. 

100 mai se only 10% ratio hai jo exam clear karte hai. 

Baki ke students ka kya? kya woh nokri nahi lag sakte? mai yehi kahunga ki woh competitive mai apna time waste kar rahe hai.

Kyunki mujhe pata hai sabki nokri nahi lag sakti, har koi competitive exam clear nahi kar sakta..

Jab students se competitive exam clear nahi hote woh demotivate hokar exam dena chor dete hai aur woh private job and foreign country ke bare mai sochne lagte hai.

Isi chakar mai unka keemti time waste hone lagta hai, unko apne upar self-confidence nahi rehta.


Kayion ko toh maine Drugs, Alocohol ki quantity zyada lete huye dekha hai, woh itne demotivate ho jate hai apni life se dukhi ho jate hai.

Isiliye meri apko yehi guidance hai ki agar aap Competitive Exam nahi pass kar paa rahe toh apke paas Shorthand se acchi line aur koi nahi hai Govt. Job lene ke liye.


Shorthand Exams




Sabse pehli baat isme koi written test nahi hota, Punjab Govt ke according Steno mai koi bhi written test nahi hai. Apko sirf shorthand ka test pass karan hai.

Shorthand ek bahut hi bdiya subject hai job lene ke liye, iske baare mai takreeban 100 me se only 30% logon ko pata hoga ki shorthand bhi koi subject hai.


Jo log shorthand ko nahi jante woh dekh kar ise haste hai, woh sochte hai ki isse seekh kar bhi koi Govt. job le sakta hai.

Mujh par bhi log haste they jab maine shuru ki thi, yahan tak mera brother bhi mujhe kehta tha ki tu yeh kon c line mai pad geya, competitive exam ki tyari kar isme kuch nahi rakha.

Shorthand ki baat karu toh iske jaisa aur koi subject nahi jo sabhi ko Govt. Job lagwa sakta hai, bas isme apko mehnat karni hai itni ki dusre bhi hairan ho jaye.

Jisne shorthand ko aachi tarah se seekh liya, aisa koi student nahi jiski job naa lage, Shorthand seekh kar koi bhi unemployed nahi reh sakta yeh mera aapse promise hai.

Shorthand ki value apko tab pata chalegi jab aap kisi Officer ke saath lagenge. 


Competition in Shorthand Exams





Shorthand mai competition meri taraf se only 10% hai, pehli baat toh Steno Typist mai bahut hi rare students apply karte hai.

Upar diye gaye chart mai aap dekh sakte hai ki Shorthand mai kitna kam competition hai govt job ke liye.




Shorthand mai Punjab Govt. Mai 4 types ke exam hote hai.

1. Steno Typist- 80 wpm- Only Punjabi
2. Junior Scale Stenographer- 100 wpm, Eng & Punjabi Both
3. Senior Scale Stenographer- 100 wpm, Eng & Punjabi Both
4. Reporter- 130 to 140 wpm- Only Punjabi



1. Steno-Typist: Steno typist mai 80 wpm ka paper hota hai isme apko 5 minute ki dictation boli jati hai jo apko 27 minutes mai type karni hoti hai computer/machine par.

Steno-Typist in Court Exam- Court ke exam mai apko same 80 wpm ki speed se paragraph bola jayega usme apko paragraph type karne ke liye 20 minutes diye jayenga.

2. Junior Scale Stenographer: Junior Scale mai apko 100 wpm ki 5 minutes ki dictation boli jati hai , jo apko 25 minutes mai type karni hoti hai computer/machine par.

Click Here: Shorthand Mistakes and Test Time Information

3. Senior Scale Stenographer: Senior Scale mai apko same 100 wpm ki dictation boli jati hai 5 minutes mai isme bhi apko 25 minutes diye jate hai type karne ke liye.

4. Reporter: Reporter exam mai 130 wpm to  140 wpm ke beech apko 5 minutes ki dictation boli jati hai, iske liye apko 35 minutes diye jate hai type karne ke liye.


End mai apko yehi guidance dena chahta hoon ki agar apme Steno banne ki iccha hai toh aap aaj se shorthand ko seekhna shuru karde, Jo students ne abhi +2 ki hai agar woh BA ke saath saath ise karna chahte hai toh woh bhi good hai.

Jab tak apki BA complete hogi aap competition ke liye tayar ho jayenge, aur phir apko Job lene se koi nahi rok sakta.



Apko shorthand se related koi bhi information leni ho toh aap niche freely comment kar sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post