Jab hum shorthand shuru karte hai toh hame bilkul bhi iske baare mai knowledge nahi hoti ki kaise hum ek perfect stenographer ban sakte hai, kaise hum apne aap ko day by day steno mai improve  kar sakte hai.

Perfect Safal Stenographer Kaise Bane

Aksar dekha jata hai ki students shorthand center toh jaate hai, par unme se only 50% students hi apna 100% de paate hai, baki ke students ya toh buri tarah fail ya phir steno chorne ka mann bana lete hai, aisa kyun????

Yeh problem naa toh unke teachers samaj paate hai ki students ko kya dikkat aa rahi hai, ya phir unse shorthand kyu nahi leekhi jaa rahi, kyu woh mistakes par mistakes kar rahe hai?

Mostly shorthand centers mai fast dictation boli jaati hai, jisne shorthand leekhli toh theek, baki students ko samaj nahi aata kya ho raha hai..................................

Bahut se shorthand centers mai students ka mazak bhi udaya jaata hai aur unhe yeh bhi kaha jata hai ki tere bas ka kuch nahi hai, tu kuch aur karle, yahan tak ki unko demotivate bhi kara jata hai.

Aur jo student apni shorthand mai improvement kar leta hai woh phir other steno student ko kuch nahi samajte....naa hi usko sahi guidance milti hai, ki kahin yeh naa mere se agey nikal jaye.....

Mai apko guide karunga ki aap kaise ek perfect stenographer ban sakte hai........... Let's Begin. 


ਸਟੈਨੋਗ੍ਰਾਫਰ ਬਣਨ ਲਈ ਹਿੰਮਤ, ਮਿਹਨਤ, ਲਗਨ, ਮਗਨ, ਜਨੂੰਨ, ਇਕਗਾਰਤਾ ਤੇ ਸਬਰ ਵਿੱਚ ਰਹੋ, ਤੁਹਾਨੂੰ ਮਿਹਨਤ ਦਾ ਮੁੱਲ 100% ਮਿਲੇਗਾ


Pen or Pencil

Sabse pehli baat shorthand leekhne ke liye kya use kare, mai apko guide karunga ki aap starting se hi pen use kare. Apka first aim yehi hona chahiye. Pen aap white Pilot ya Hi Tech Pilot V5  pen use kare, mostly fastest shorthand stenographers and reporters yehi pen use karte hai.


G.D Bist 250 WPM World Record Guinness World Record , Punjabi Shorthand Reporters, Rajya Sabha Reporters mostly yehi pen use karte hai.

Pencil toh aap bilkul bhi use naa kare, competition mai ya phir dictation leekhte huye sikka tut geya toh apki sari mehnat par paani phir sakta hai, so be careful.




Also Read:

Shorthand Pen Summary


Shorthand Basic Rules

        Jab aap shorthand start karte hai toh basic rules proper se samje, aaj ke seekhe huye proper rules hi apka future decide karenge, agar aapne shorthand book mai se  koi bhi rule miss kar diya ya phir apko misguidance mili toh aap shorthand mai peeche reh jayenge. 

Yahan tak ki apko steno leekhne mai bhi bahut problems aayengi reasons like......

  • Vowels galat place karenge 
  • Outlines galat leekhenge
  • Words galat read out karenge
  • Words ki outlines nahi bana payenge
  • Read out karne mai problems ayengi
  • Read kuch aur type kuch karenge
Jab apko yeh problem aani shuru hongi toh aap demotivate ya shorthand ko naa karne ka mann banalenge.

        Isliye aap jis bhi teacher se steno seekh rahe hai aap proper rules seekhe, aur ghar par aakar bhi practice kare, agar apko kuch samaj nahi aata toh phir se teacher se pooche, ya phir aap hame bhi pooch sakte hai.

Kabhi bhi steno seekhne mai jaladbazi naa kare, koi bhi rule ko ignore naa kare, koi bhi chapter book mai se miss na kare.

Agar apko koi bhi teacher yeh kehta hai ki jaldi jaldi book khatam karke dictations par aao, toh aap teacher se keh sakte hai ki, mujhe aachi tarah se basic rules samaj nahi aaye phir se samjaye.


Concentration

Shorthand mai concentration kitni zauri hai yeh shayad apko batane ki zarurat nahi hai, ki bina concentration se aap shorthand mai ek word bhi nahi leekh sakte.

Jahan apka dhyan idhar udhar hua toh apki saari leekhi huyi shorthand kharab ho jayegi, aur apka honsla tut jayega.

Isliye jab bhi shorthand leekhe toh poore concentration ke saath leekhe, ek word bhi miss naa ho, ya phir koi bhi word aap galat naa leekhe.

Shorthand ko hamesha interest lekar leekhe, apko yeh proud hona chahiye ki aap ek aisi language leekh rahe hai jo sirf poori duniya mai aap hi read out and type kar sakte hai.

        

    ਇੱਕ ਵੀ ਗਲਤ ਲਿਖਿਆ ਹੋਇਆ ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਅੱਖਰ ਤੁਹਾਨੂੰ ਮੈਰਿਟ ਵਿੱਚ ਪਿੱਛੇ ਕਰ ਸਕਦਾ - "Martin Dupra 280 WPM Court Reporter, England"


Steno Practice


stenographer-gif

Bahut se students ko yeh samaj nahi aata ki woh kitni practice kare, apko simple way mai kahunga ki aap daily ke 5-7 paragraphs poore concentration se kare aur daily type kare aur apni mistakes ko check kare.

One paragraph ko kam se kam 10 to 15 times practice kare (baar baar repetition kare), aisa karne se aap words ke saath familiar ho jayenge, apki eyes, apke hand, apka mind, hand movement sab kuch trained ho jayega. Practice karte waqt har outline ko proper leekhe koi bhi outline galat paane ki koshish naa kare.

Yeh naa samje ki paragraph ka raata maarna hai, proper rules ke according hi practice kare, words proper accurate leekhne hai, itni accurate ki jab aap dictation leekhe toh word bilkul sahi place par leekhe jaye.


Dictation

Practice karne ke baad pehle apni minimum speed par dictation leekhe like 

Punjabi Students

English Students
Agar apko aur speed increase krni hai toh 140  wpm bhi practice kar sakte hai.

Dictation leekhne ke baad mistakes check kare mistake nahi huyi toh seedha steno dictation ko transcribe karne ke liye beth jaaye.

Agar mistakes huyi hai toh, phir se dictation leekhe aur tab tak le jab tak aap paragraph ko perfection se nahi leekh paate.

Yeh yaad rakhe ki jo mistakes aaj ho rahi han woh kal ko phir se nahi honi chahiye.

ਕਿਹੜੇ ਕਿਹੜੇ ਸ਼ਬਦਾਂ ਦੀ ਬਨਾਵਟ ਤੁਸੀਂ ਗਲਤ ਲਿਖੀ ਹੈ ਜਦੋਂ ਕਿ ਤੁਸੀਂ ਉਹਨਾਂ ਸ਼ਬਦਾਂ ਦੀ ਅਸਲ ਰੂਪਰੇਖਾ ਜਾਣਦੇ ਹੋ, ਉਹਨਾਂ ਨੂੰ ਦਰੁਸਤ ਕਰੋ

steno-type-machine

Aap daily aisa karne se dekhenge ki aap pehle se apna 100% dena shuru kardenge.

            ਇਹ ਨਾ ਦੇਖੇ ਕੀ ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਵਿੱਚ ਕਿੰਨੇ ਸਾਲ ਲੱਗ ਰਹੇ ਹਨ ਇਹ ਦੇਖੋ ਕੀ ਤੁਸੀਂ ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਨੂੰ ਕਿੰਨੀ ਤੀਬਰਤਾ, ਲਗਨ, ਮਿਹਨਤ, ਜਨੂੰਨ, ਨਾਲ ਕਰ ਰਹੇ ਰਹੋ, ਕਿਉਂਕਿ ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਵਿੱਚ ਕੁਝ ਬਣਨ ਲਈ ਉਸਦਾ ਮੁੱਲ ਤੁਹਾਨੂੰ ਚੁਕਾਉਣਾ ਹੀ ਪਵੇਗਾ, ਜੋ ਬੀਜੋਗੇ ਉਹੀ ਪਾਓਗੇ।

 

Punjabi Shorthand Practice Material

Aap inke according practice kar rahe hai toh sufficient hai, aap easily stenographer ban jayenge.

English Shorthand Practice Material
Yeh sabhi material apko english stenographer banne mai help karega. Itni practice sufficient hai english steno banne ke liye.

ਪਵਨ ਸ਼ਰਮਾ ਨੂੰ ਸਟੈਨੋਗ੍ਰਾਫਰ ਤੋਂ ਵਿਧਾਨ ਸਭਾ ਰਿਪੋਰਟਰ (ਗਜ਼ਟਿਡ ਅਫਸਰ) ਤੱਕ ਪਹੁੰਚਣ ਲਈ ਆਪਣੇ ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਦੇ 12 ਸਾਲ ਸਟੈਨੋ ਦੇ ਲੇਖੇ ਲਗਾਣੇ ਪਏ। 

ਸਰਬਜੀਤ ਸਿੰਘ ਨੂੰ ਸਟੈਨੋਗ੍ਰਾਫਰ ਤੋਂ ਜੂਨੀਅਰ ਸਕੇਲ ਸਟੈਨੋਗ੍ਰਾਫਰ ਬਣਨ ਲਈ ਆਪਣੀ ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਦੇ 10 ਸਾਲ ਸਟੈਨੋ ਦੇ ਲੇਖੇ ਲਗਾਣੇ ਪਏ। 

ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਤੁਹਾਨੂੰ ਕਿੱਥੇ ਲੈ ਕੇ ਜਾਵੇਗੀ ਇਹ ਕੋਈ ਨਹੀਂ ਜਾਣਦਾ, ਪਰ ਮੈਂ ਇਹਨਾਂ ਜਾਣਦਾ ਕੀ ਇਹ ਤੁਹਾਨੂੰ ਭੁੱਖਾ ਨਹੀਂ ਮਰਨ ਦੇਵੇਗੀ। 


Reverse Practice

Practice ke baad aata hai reverse shorthand practice means ki jo dictation aapne aaj leekhi hai kya aap wohi dictation 3 din baad ya phir 7 din baad wohi speed and accuracy ke saath read out kar rahe hai.
80% stenographers aisa nahi karte, woh bas dictation lekar, type karke copy band kar dete hai.
Apko apni aaj ki leekhi huyi shorthand ko 2 ya 3 din baad read out karna chahiye, isse apki eyes aur trained hongi shorthand padne mai.
Aap words ko dekhte hi samaj jayenge ki yeh outline is word ki hai.

        Martin Dupra - ਹਰ 2 ਦਿਨ ਬਾਅਦ ਆਪਣੀ ਲਿਖੀ ਹੋਈ ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਨੂੰ ਬਾਰ ਬਾਰ ਪੜ੍ਹਦਾ ਸੀ, ਜੇ ਗਲਤੀ ਹੁੰਦੀ ਸੀ ਤਾਂ ਸੁਧਾਰ ਕਰਦਾ ਸੀ। ਇਸ ਤਰ੍ਹਾਂ ਕਰ ਕਰ ਕੇ ਉਸਨੇ English Shorthand ਦੇ ਹਰ ਅੱਖਰ ਵਿੱਚ ਏਨੀ ਮੁਹਾਰਤ ਹਾਸਲ ਕਰ ਲਈ ਸੀ ਕਿ ਉਸਨੇ ਇਕ ਦਿਨ 280 WPM ਸਪੀਡ ਤੇ ਸਾਰੀ ਇਬਾਰਤ ਲਿਖ ਲਈ।

Grammalogues Practice

Mostly students grammalogues point ko miss karte hai, woh yeh samajte hai ki yeh itne important point nahi hai, par mai kahunga ki yeh most important factor hai shorthand mai.

80% shorthand to grammalouges mai cover ho jati hai, aur mostly mistakes grammalogues galat paane ki wajah se ya phir galat read out karne ki wajah se hi hoti hai.

Daily grammalgoues par nazar maare, aisa karne se jo grammalogue steno leekhte waqt galat ya miss out hote hai woh apke correct ho jayenge.


Practice Difficult Words

Dictation leekhte waqt apko jo words nahi leekhe gaye, ya phir leekhte waqt miss ho gaye, mind mai proper nahi aaye, toh aise words ki apko 100 times practice karni chahiye, agar phir bhi pareshaani aa rahi hai toh phir se practice karni chahiye.

Means ki kabhi bhi practice karne se peeche naa hatte, nahi toh wohi words apko agey jakar pareshaan karenge.

Yahan tak bhi apko perfect safal stenographer baane mai bhi dikkat ayegi.


ਜੋ ਵਿਦਿਆਰਥੀ ਕੇਵਲ ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਲਿਖਣ ਵੱਲ ਧਿਆਨ ਦਿੰਦੇ ਹਨ, ਪੜ੍ਹਣ ਵੱਲ ਤੇ ਟਾਈਪ ਕਰਨ ਵੱਲ ਨਹੀਂ ਤਾਂ ਫਿਰ ਉਹ ਕਦੇ ਵੀ ਮੰਜ਼ਲ ਤੇ ਨਹੀਂ ਪਹੁੰਚ ਸਕਦੇ।


Page Turn Over

Students page turn over karte huye confuse, tension, ya phir ek darr chupa hota hai unke andar, kahin page turn naa huya moke par toh kya hoga?

Ye keh lijiye ki fast dictation par page turn nahi hua toh words miss na kar jaye, mistake naa ho jaye.

Mai apko niche show kar raha hoon ki kaise aap simple way se page turn over kare bina kisi confusion ke.

Apna left thumb ko bilkul page ke corner se pehle hi pakad le, jab aap page ke bilkul end par paunch jaye toh saath ke saath page turn over karde.




Hard Work

Shorthand karne mai kitna hard work hai yeh 100% stenographers ko pata hai, par yeh jaane huye bhi only 50% students hi shorthand ko time de paate hai.

Apko daily shorthand practice 2-3 hours sharp mind se karni chahiye, aap chahe din mai jitna bhi time shorthand ko de rahe hai, woh time bas shorthand ka hi hona chahiye.

Agar practice karte karte aap thak jaye ya phir apka dil naa kare toh shorthand practice band karde, kyunki aisi practice ka koi benefit nahi hone wala.

    ਇੱਕ ਦਿਨ ਕਿਸੀ ਸਟੈਨੋਗ੍ਰਾਫਰ ਨੇ ਮੈਨੂੰ ਪੱਛਿਆ ਕਿ ਤੁਸੀਂ ਇਕ ਦਿਨ ਵਿੱਚ ਇਹਨੀ ਡਿਕਟੇਸ਼ਨਜ਼ ਕਿਵੇਂ ਰਿਕਾਰਡ ਕਰ ਲੈਂਦੇ ਹੋ, ਮੈਂ ਕਿਹਾ ਮੈਂ ਸਿਰਫ ਮਿਹਨਤ ਕਰਨਾ ਜਾਣਦਾ, ਸਵੇਰ ਤੋਂ ਲੈਂ ਕੇ ਰਾਤ ਤੱਕ ਮੈਂ ਸਿਰਫ ਮਿਹਨਤ ਹੀ ਕਰਦਾ, ਉਸ ਤੋਂ ਬਾਅਦ ਮੈਂ ਮਿੱਠੀ ਨੀਂਦ ਸੋ ਜਾਂਦਾ।

Yeh nahi ki shorthand leekhte waqt apka dhyan, whatsapp, facebook, Instagram, Twitter, Youtube par hai.

Apki life ka poora focus stenographer banne mai hi hona chaiye,

  • Positive
  • Persistence
  • Performance
  • Avoid Lazyness


ਜ਼ਿਆਦਾਤਰ ਵਿਦਿਆਰਥੀ ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਵਿੱਚ ਪਾਉਣਾ ਤਾਂ ਬਹੁਤ ਕੁਝ ਚਾਹੁੰਦੇ ਹਨ ਪਰ ਜਿੱਤ ਹਾਸਲ ਕਰਨ ਲਈ ਮਿਹਨਤ ਤੇ ਵਕਤ ਨਹੀਂ ਦੇਣਾ ਚਾਹੁੰਦੇ- Henry Ford


Lazyness

Mera ek steno friend ne aaj se 10 saal pehle shorthand seekhni shuru ki, par woh kabhi bhi steno ko naa toh continue kar paya aur naa hi aaj tak stenographer ban paya uska main reason tha lazyness.

  • Daily practice na karna
  • Shorthand mai interest naa lena
  • Steno ko Bekaar kehna
  • Steno karte waqt phone par baat karna
  • Steno karne bethna aur dhyan kahin aur hona

Lazyness ki wajah se aaj woh life mai sabse peeche hai, aur aaj woh ek normal shop par kaam kar raha hai.

ਆਲਸ ਦੇ ਕਾਰਨ ਹੀ ਤੁਸੀਂ ਅੱਜ ਦਾ ਕੰਮ ਕੱਲ੍ਹ ਤੇ ਅਤੇ ਕੱਲ੍ਹ ਦਾ ਕੰਮ ਪਰਸੋਂ ਤੇ ਟਾਲ ਦਿੰਦੇ ਹੋ।

Jo students lazy hai shorthand mai, unka steno mai koi future nahi hai, yaa toh aap apni zindagi sokar guzar dijiye yaa phir zindagi mai kuch bankar, faisla apke haath mai hai.

ਆਲਸ ਮਨੁੱਖ ਦਾ ਸਭ ਤੋਂ ਮਿੱਠਾ ਦੁਸ਼ਮਣ ਹੈ, ਬਹੁਤ ਮਿਠਾਸ ਨਾਲ ਇਹ ਆਦਮੀ ਨੂੰ ਮਾਰਦਾ ਹੈ, ਤੁਸੀਂ ਕੜੀ ਮਿਹਨਤ ਕਰ ਰਹੇ ਹੋ, ਮਨ ਵਿੱਚ ਥੋੜ੍ਹਾ ਜਿਹਾ ਆਰਾਮ ਦਾ ਵਿਚਾਰ ਆਇਆ ਨਹੀਂ ਕਿ ਆਲਸ ਨੇ ਤੁਹਾਨੂੰ ਆ ਘੇਰਿਆ- Swet Marden

 

End mai apko yehi kahunga, agar aap upar bataye gaye sabhi points ko follow karte hai toh aap ek din perfect stenographer ban jayenge aur apko job lene se koi nahi rok sakta.

3 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post