Shorthand jab hum start karte hai hamare mind mai yehi question hota hai ki hum pencil use kare ya phir pen. Agar pen ya pencil use karni hai toh kon c use kare. 


Shorthand-Kis-Se-Likhe-Pen-Ya-Pencil



Maine bahut se students ko dekha hai ki woh decide hi nahi kar pate kabhi pencil se likhte hai aur kabhi pen se likhna shuru kar dete hai. Jab hum shorthand ko shuru karte hai toh hume us time hi right decision lena hota hai. 

Nahi toh agey jakar yeh bahut hi badi problem ban jati hai. Kyunki jab ek baar aadat pad gayi toh use hatana mushkil ho jata hai. Isliye aap shuru se hi right decision le. 



Pencil Facts

Maine bhi jab starting mai pencil use karni shuru kar di thi toh mai sara din pencil hi sharp karta rehta tha ki iska sikka fade ho raha hai. Aur pencil bar bar lena expensive hota hai pen ke mukable.

Kyunki mujhe ek buri aadat pad chuki thi pencil ki. Maine ek baar internet par hi iske related information li ki pen zyada better hai ya pencil. Usme pen prefer karne ko kaha tha. 

Agar aap shorthand ke liye pencil ko use kar rahe hai toh mai apko kahunga ki aap aaj hi pencil band karke pen use karna start kar dijiye. Kyunki yeh mera khud ka experience hai. 

Uska reason yeh hai ki ek toh pencil ka sikka bar bar sharp karna padta hai aur iske tutne ka bhi darr rehta hai ki kahi likhte likhte sikka naa tutt jaye. 

Aap zyada ter tak pencil se nahi likh sakte. Likhte likhte pencil ka sikka mota ho jata hai jo shorthand ki underlines ko kharab karta hai. 

Suddenly Break My Pencil Court Exam

Ek baar court ka exam dete huye meri pencil ka achanak sikka tut geya tha aur mai dictator se bahut picche reh geya tha. Aur us din mujhe bahut afsos hua tha ki ek pencil ki wajah se mai paper mai fail ho geya. Us din ke baad maine kabhi bhi pencil use nahi ki. 

Jab hum competition mai jaate hai toh hamara mind ek jagah par nahi rehta hume darr rehta hai ki kahin test dete huye agar pencil ka sikka tut geya toh aap fail ho sakte hai aur apki sari mehnat kharab ho sakti hai. 

Aur hume competion mai apne paas hamesha 2 ya 3 pencil rakhni padti hai agar sikka tut geya toh hum utha kar dusri pencil use karlenge. Par aisa karne se apka time waste hota hai aur test mai aap dictator se piche reh jate hai. Jo hamare liye fail ka reason ban jata hai.

Pen Facts

Pen ka bahut hi important role hai shorthand mai. Yeh naa toh kabhi tutta hai pencil ki tarah aur naa hi kabhi ise sharp karna padta hai. 

Pen ka light touch hi kaafi hai shorthand likhne ke liye apko bas light pen pakadna hai aur raftaar se shorthand ko likhte jayenge. 

Neat and Clear Notes with Pen

Pen se aap neat and clear notes likh sakte ho. Jab hum speed par hote hai dots and circles bilkul clear padte hai pen se. Jisse hum zyada zor nahi lagana padta pakdne ke liye. 

No Fatigue

Pen se shorthand likhte hue apko kabhi bhi fatigue mehsoos nahi hoga jaise pencil se likh kar hota hai. Hum pen ko continue use kar sakte hai bina ruke pencil ke mukable. 

No Breakage 

Competition mai paper dete huye apka mind bilkul clear rahega ki hume bas shorthand likhni hai. Kyunki pen ka sikka kabhi break nahi hota. 

Fast Writing 

Aap pen se shorthand ko bahut fast speed se likh sakte hai. Jitne bhi Fast Shorthand Speedy Writers hai unhone ne hamesha pen use kiya hai. Nathan Behrin, Charles Swem, Martain Dupraw etc yeh always pen use karte they. 


Mr. Geo. R. Bishop Reporter New York Court talk about Pen

Mr Geo. R. Bishop ne kaha hai ki agar aap pen se 4 hours shorthand likhte hai toh woh pencil ke mukable kam fatigue थकान  hoga. Means ki aap pen se zyada ter tak likh sakte hai pencil ke mukable. Pencil se muscular and nervous strain  तनाव hota hai. 

The Shorthand Review Regarding Pen or Pencil August 1891

August 1891 ko New York mai 51 Reporters se pucha geya tha ki aap pen ko prefer karte hai ya pencial ko. Toh usme 40 Reporters ne pen ko prefer kiya tha aur 11 Reporters ne pencil ko. 

Aap yahan se hi andaza laga sakte hai ki pen kitna zaruri hai shorthand ke liye. 

Flexible

Pen ki nib pencil ke mukable mai zyada flexible hoti hai. Shorthand note book par touch karte hi underline pad jati hai. Par pencil mai aisa nahi hota. Pencil use karte hume zyada pressure pana padta hai likhne ke liye. 

Easy Transcribe with Pen Notes

Pen se shorthand notes ko hum easily transcribe kar sakte hai after years bhi. Par pencil se likhe hue note kuch der baad hi fade ho jate hai. 

Agar hum pencil se notes likh kar rakhenge aur usi note ko kuch saal baad dekhnge toh woh bilkul fade ho chuke honge. Par pen ke note usi tarah rahenge. 


What Kind of Pen Should Use for Shorthand

Apke mind mai yehi hoga ki hum kon sa pen use kare market mai alag alag tarah ki kitne hi pen aate hai. Par mai apko kahunga ki shorthand ke liye sirf 2 tarah ke pen hi use hote hai. 

Fountain Pen- First Shorthand ke liye fountain pen use hota hai. Isse aap bahut speed se shorthand likh sakte hai. Aur maine bhi yehi pen use karta hoon. Foreign writers bhi fountain pen ka hi use karte they. 

Joseph M Shaffer Use Fountain Pen

Fountain Pen

Pilot Pen- Second pen hai Pilot pen iska naam toh apne suna hi hoga. Aap pilot ka simple white pen use kare shorthand ke liye yeh bahut hi kamaal ka pen hai aur iski nib bahut flexible hai. 


Hold Pen Properly

hold-pen-properly
Hold the pen with just enough pressure

Apko pen properly tareeke se pakadna hai. Jaise ki upar picture mai dikhaya geya hai. Apne pen par koi zyada pressure nahi pana bilkul smooth touch dena hai. Agar aap pen zor se pakad ke likhenge toh aap kabhi bhi high speed attain nahi kar sakte. 

Conclusion

At last mai apko yehi kehna chahta hoon ki aap aaj hi pencil ko use karna band kar dijiye. Pen use karna start kar dijiye yeh shorthand ke liye bahut hi zaruri hai. Pen se aap bahut zyada speed attain kar sakte hai.


Apko meri yeh jankari kaisi lagi niche comment karke zarur bataye.

4 Comments

  1. very good information....great work...thanks

    ReplyDelete
  2. I think about it is most required for making more on this get engaged Backpacks

    ReplyDelete
  3. Sir mera hath tremor ho jata hai....jb speed me dictation likhta hu....aur outline bahut hi gande tareeke se banti....main ye chahta ki meri outline bilkul lucid bane.... please ispr kuch btaiye

    ReplyDelete
  4. Please Message on Whats App Number 98771 10107

    Apko detail mai bataunga..

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post