Chapter-7 Circle S and Z ke baad English Steno Chapter-8 mai S and Z strokes ke baare mai guide kiya geya hai.
Peechle chapter mai hamne S aur Z circles ke baare mai seekha tha. Chapter-8 mai clear kiya geya hai ki kahan par apko S and Z stroke ki full outline paani hai.
Example
English Shorthand mai agar word paane se pehle vowel ki sound aa rahi ho toh wahan par S and Z
ki outline poori padegi.
Kyunki vowel ki place (First ,Second & Third) clear karne ke liye stroke ka hona bahut zaruri hai.
Some Examples
Ask- Ask mai A se pehle first vowel aa geya outline poori padegi
Issue- Issue ke end mai third vowel ki sound aa rahi hai
Cozy- Cozy mai second aur third vowel ki sound aa rahi hai
Busy- Buzy mai third vowel ki sound aa rahi hai.
More Examples
Ask- Ask mai A se pehle first vowel aa geya outline poori padegi
Sack- S ke baad vowel ki sound aa rahi hai, circle padege.
Racy- R ke baad second and third place par vowel ki sound aa rahi hai, outline poori padegi.
Race- R ke baad only second place par sound aa rahi hai, circle padega.
Busy- Buzy mai S se pehle aur baad mai third vowel ki sound aa rahi hai, outline poori padegi.
Bees- Bees mai only third B ke baad vowel ki sound aa rahi hai, circle padege.
Derivatives Forms
Jab S se pehle, middle and baad mai vowel aaye tab bhi outline poori hi padegi.
Saw
Saw bench
Assailed
Unassailed
Ease
Disease
Diphthongs and Triphones
Jab S ke saath Diphthongs and Triphones a jaye......
Science
Sewer
Cease
Saucer
Zeal word steno
ReplyDeleteZ line cut krke l upward padega...
DeletePost a Comment