Pitman English Shorthand mai 3rd Chapter aata hai (Intervening Vowels and Position) स्वर का स्थान और स्थिति .
Jaise ki hamne 2nd chapter The Vowels mai pada tha ki vowels kya hai aur inke 3 place hoti hai.
Read:
2nd chapter The Vowels
Chapter shuru karne se pehle apni book zarur khol le.........
1. Intervening Vowels
Jab shorthand mai 2 strokes paate hai toh uske beech mai jo vowels place hota hai usko Intervening Vowels kehte hai.
Ek baat hamesha dhyan rakhe ki pehla apko outline/stroke paani hai uske baad vowels ko place karna hai, jaise ki maine peechle chapter mai videos mai bana kar bhi samjaya tha.
1st Place Vowel - Above the Line
Intervening vowels mai yehi bataya geya hai ki jab hum 2 strokes ko join karte hai. Pehle stroke paa dijiye 'T' and 'K' ki -
uske baad beech mai vowel place karna hai
2nd Place Vowel - On the Line
Jaise hamne upar stroke payi hai same waise hi stroke paane ke baad beech mai vowel place karna hai. Example Gate.....
Pehle Stroke Leekhe 'G' and 'T' ki phir vowel place karde
aap dekh sakte hai outline pakar second place beech mai vowel place kar diya.
3rd Place Vowel - Through/Cut the line
Third place vowel tab lagta hai jab line cut kar jati hai. Yeh yaad rakhe ki third place vowel hamesha end mai line cut karke hi padega. 
Intervening Vowel Places Diagram
Aap upar diagram mai bhi dekh sakte hai vowels positions 1st place , 2nd place & 3rd place par lagayi jati hai.
2. Compound Words
Compound words hum unko kehte hai jisme alag alag vowel place karne padte hai, par yeh leekhte hum ikthe hi hai.
मिश्रित शब्दों में स्वर-चिह्न को आम तौर पर अलग-अलग शब्दों में रखा जाता है:
Example :
Ear-Ache 

3. Position of Outlines
Jaise ki maine pehle 2nd chapter mai bataya aur upar bhi explain kar diya hai ki vowels-signs place karne ke three positions hoti hai.
- Talk -
1st Place Vowel रेखा से ऊपर - Gate-
- 2nd Place Vowel रेखा पर - Deem-
- 3rd Place Vowel- लाइन काटता है
1st Place Vowels, Always write Above the Line
First Sound Vowels Words apko neeche explain kar raha hoon.
2nd Place Vowels, Always write On the Line
2nd Place vowels apko tab paana hai jab stroke line ko touch karde.
3rd Place Vowels, Always write Through the Line
3rd Place vowels apko tab paana hai jab stroke line ko cut kar rahi ho jab i, e ki sound aa rahi ho... Jaise maine 2nd chapter mai explain kiya hua hai.
4. Horizontal Strokes
Horizontal storkes sidhi leekhi jaati hai, jaise ki aap neeche dekh sakte hai.
Horizontal Stroke kabhi bhi line cut karke nahi padti , yeh hamesha sidhi hi line ke upar Above the Line, Line par (on the line) through the line ( means line par hi padti hai).
Exercise 10- Fully Solve
Note for Students
Har exercise ko baar baar practice tab tak practice kare jab tak apko har character aachi tarah se yaad nahi ho jata.
Apko pitman english shorthand (Intervening Vowels and Position) Chapter-3 detail mai explain kar diya geya hai, aur saath mai exercise bhi solve di gayi hai.
Agar apko kisi bhi tarah ki problem aati hai toh aap Facebook Messenger par message kar sakte hai.
Great effort
ReplyDeletePost a Comment