Agar life mai koi bhi kamyabi hasil karni hai toh patience bahut zaruri hoti hai, patience (wait) aur mehnat ke bina life mai kuch hasil nahi hota.


Patience in Shorthand

Daily Newspaper read karte waqt mujhe bahut se aise news padne ko milti hai jisme kisi na kisi student ne study ko lekar ya result mai fail hone ke karan suicide kiya hai.

Har koi life mai success hasil karna chahta hai, par kamyabi har kisi ko nahi milti reason, koi koshish karna chor deta hai, koi mehnat karna aur koi patience rakhna aur koi toh duniya hi chor deta hai.

Steno students mai bhi kuch aisa hi dekhne ko mila, jo bahut jaldi umeed chor dete hai nokri ki aur apna mind change kar lete hai.

Kamzor dil wale student to shorthand ko hi chor dete hai aur apne mind mai ek alag hi duniya bana kar shorthand ke baare mai negative thoughts sochte rehte hai.

Woh yeh janne ki koshish nahi karte ki shorthand mai hum kyun ni agey nikal rahe, kyun nhi shorthand leekhi jaa rahi, kyu shorthand mai problems aa rahi hai ? woh apne aap se question nhi puchte ki problem ko kaise solve kiya jaye.

Maine apne career mai bahut se shorthand papers diye hai aur har paper dete waqt mai yehi sochta tha ki pass ho jaunga, kabhi na kabhi mehnat rang layegi aur aise hi hua aur jo mehnat karta hai uske saath aisa hi hota hai.

Aaj mai apko kuch points share karunga jisse apko life mai patience ko maintain rakhe mai help karenge.


1. Patience 


Steno ek aisa subject hai jisko har koi haath nahi lagata. Jo bhi student shorthand ko first time dekhta hai woh ise dekh kar confuse, funny ya yehi kehta hai ki yeh kya urdu hai.

Yahan tak bhi apke ghar ke ya relatives bhi apko yehi kehte milenge tu kis chakar mai pad geya kuch nahi bnna isme chor de ise.

Kyunki aaj kal har kisi ke mind doctor, engineer, officer level ki jobs ke peeche bhag rahe hai, sahi maano toh ek bhed chaal lagi huyi hai.

Shorthand ke peeche har koi nahi bhag sakta kyunki isme mind ki itni practice hai woh sirf wohi students kar sakte hai jisme patience aur mehnat ka itna junon or hunar ho ki woh kisi bhi language ko shorthand mai leekh kar transcribe kar sake.

Par shorthand ek aisa nasha hai jisko ek baar iski aadat pad gayi woh ise nahi chor sakta, kyunki uspar success ka nasha heavy ho jata hai, jo student ko job lene ke liye andar se har waqt motivate rakhta hai.

Agar apko shorthand mai success hona hai toh patience apko rakhna hi hoga, woh kitna ho sakta hai yeh koi nahi bata sakta isliye success hasil karne ke liye apni kismat par yakeen karna chor dijiye.


"Jo log mehnat karte hai duniya unke liye raasta chor deti hai"   - Henry Ford (Ford Company)




2.  Keemat


Aap shop se koi samaan lene ke liye jaate hai aur apko uske liye paise dene padte hai, apko market mai koi bhi saman free mai nahi milta.

Aise hi life mai hota hai agar apko success hasil karni hai shorthand mai, apko mehnat karke keemat chukani hogi. 

Woh keemat kitni hogi yeh aap jante hai, agar apko ek behtar zindagi chahiye toh apko keemat chukani padegi.

Stenographer banna naa hi itna aasaan hai aur naa hi mushkil hai yeh toh bas apki regular practice par depend karta hai.

Isliye life mai kuch bhi hasil karna hai toh uski liye keemat chukane ke liye hamesha tayar rahe.


धैर्य रखें। आसान होने से पहले सभी चीजें मुश्किल हैं।


3. Vishwas 


Mera ek friend steno karta tha, woh 5 saal se lagatar steno paper de raha tha, naa jaane kitni baar woh fail hua aur jab pass hota toh woh merit mai nahi aata tha mistake ke karan.

Woh aksar mujhse phone par baat karte karte yeh kehta tha tha steno ko lekar ki ..........


  1. Meri toh job nahi lagti 
  2. kismat hi kharab hai
  3. Time aacha nahi hai, 
  4. Rabb ne meri kismat mai job nahi leekhi
  5. Pandit bhi yehi kehta hai
  6. Parents bhi kehte hai chor de
  7. Relatives kehte hai kya steno bekaar etc....etc...
  8. Negative thoughts aate hai
  9. Tension ho jaati hai
  10. Steno mai dil nahi lagta ab
  11. Meri age nikal jayegi
  12. Dictation hi difficult bolte hai
  13. Kahin meri age naa nikal jaye
  14. Sab mere se agey nikal gaye
  15. Kab job lagunga kab shaadi hogi
  16. Kab tak mehnat karta rahunga


Mai tab bhi uske kehta tha ki apne aap vishwas aur patience rakh teri job lagni hi lagni, bas apni steno par concentration aur mistake par dhyan de aur kisi ki baat par dhyan naa de.

Aur ek din aisa hi hua woh ek din steno ban geya aur jis din uski job lagi toh usne sabke muh band kara diye.

Reason - ek vishwas, mehnat aur patience ko lekar woh shorthand mai continue aache tareek se practice karta chala geya aur ek din woh success ho geya.


एक आदमी जो धैर्य रखता है वह बाकी सब चीजों में महारत हासिल करता है।


4. Experience 


Life mai jitni baar aap steno paper dete jayenge utni baar apko ek experience gain hoga ki hum kahan par peeche hai.

Bas yehi confidence apko success ki taraf lekar jayega, apme ek zidd aa jayegi ki mujhe steno banna hi baana hai.

Jab koi dusra stenographer ban sakta hai toh mai kyu nahi ban sakta, mujhme kya kami hai sab kuch toh hai mere pass..... haath, pen, copy, table, mind, bas kami hai toh practice ki, mehnat ki, patience ki.....

Kuch points share kar raha hoon jo takreeban har stenographer sochta hai......


  1. Aapki bhi speed ban sakti hai
  2. Aap bhi type kar sakte hai
  3. Aap bhi mehnat kar sakte hai
  4. Kisi ne apko steno banne se nahi roka
  5. Aap khud mehnat karke steno banege
  6. Dusron par nahi khud par focus rakhe
  7. Shorthand mai perfection hasil karle
  8. Mehnat itni khamoshi se kare ki success ka shor ho jaye
  9. Apne mann par control rakhe
  10. Aap kamyabi se kuch door hi hai
  11. Kismat par yakeen naa karke mehnat par yakeen kare
  12. Apni success ko Pandit se puchne ki bevkufi naa kare

धैर्य और भाग्य सभी चीजों पर विजय प्राप्त करते हैं।

5.  Practice


E-mail through student ne mere se  practice ke baare mai pucha aur maine kaha ki practice aap jitni karle utni kam hai. Bas aap jitni bhi practice kar rahe hai woh 100% accurate honi chahiye.

Agar aap din mai 4 dictations kar rahe hai toh woh 4 dictations apko aachi tarah bina mistake ke aani chaiye.

Agar aap practice sirf copy bharne ke liye kar rahe hai , shorthand read out nahi kar rahe, daily type nahi kar rahe, paragraph match nahi kar rahe .... toh woh practice kisi kaam ki nahi hai.

Practice hamesha sharp hokar kare, taki jo bhi leekh rahe hai woh mind mai fit hota rahe.

Shorthand Practice kaise karni hai iske bare mai bahut se articles maine pehle hi leekh rakhe hai. 


ਅਸਧਾਰਨ ਮੌਕਿਆਂ ਦੀ ਉਡੀਕ ਨਾ ਕਰੋ. ਆਮ ਮੌਕਿਆਂ ਨੂੰ ਫੜੋ ਅਤੇ ਉਨ੍ਹਾਂ ਨੂੰ ਵਧੀਆ ਬਣਾਓ. ਕਮਜ਼ੋਰ ਆਦਮੀ ਮੌਕਿਆਂ ਦੀ ਉਡੀਕ ਕਰਦੇ ਹਨ; ਮਜ਼ਬੂਤ ​​ਆਦਮੀ ਉਨ੍ਹਾਂ ਨੂੰ ਬਣਾਉਂਦੇ ਹਨ.


End mai apko yehi kehna chaunga ki shorthand mai success hasil karne mai patience rakhe, shorthand ke kabil bane success apke piche jhak marke ayegi.

Post a Comment

Previous Post Next Post