Sabhi stenographers shorthand mai improvement aur speed gain karna chahte hai. Woh baar baar practice karte hai kisi bhi tarah hamari speed gain ho jaye aur hum easily 100 wpm ki speed par ya phir usse bhi agey nikal jaye.
Par nikalta wohi hai jo persistence (दृढ़ता) se practice karta hai aur focus rakhta hai shorthand ke upar, ose naa din ka pata hota hai naa raat ka, uske mind mai only shorthand improvement ki baat hi chal rahi hoti hai.
Shorthand mai mastery hasil karne ke sabhi ke apne apne methods hai, aap kisi bhi stenographer se mil le woh apne hi tareeke apko batega, ki aisa nahi aise hoti hai practice..... etc.....etc...... par apko right method koi 1% steno hi bataeyga..
Par mai hamesha unko follow karta hoon jinhone actually mai shorthand mai kuch bahut bada kiya hai unke kya suggestions hai shorthand ko lekar....
Shorthand mai jinhone Speed ka World Record banaya hai.
Mai unke practice methods aap ko share karunga , ki woh kaise practice karte they woh kaise sochte they, unme aisa kya tha jo har kisi mai nahi hota...
Unhone kitni practice ki woh itni speed par kaise paunch gaye jahan paunch pana shayad har kisi ki baat nahi hoti, as to jaise har koi Mount Everest par nahi chad sakta..
Paunchata wohi hai jiske paas kuch karne ki lagan ho.
1. Keep Reading and Writing Shorthand Lines
शॉर्टहैंड लाइन्स पढ़ना और लिखना जारी रखें
Fastest Shorthand Writers jab bhi shorthand ki practice karte they, woh hamesha shorthand leekhte leekhte uchi sound mai shorthand ko saath ke saath read out karte rehte they.
Woh aisa ek baar nahi takreeban 50 times karte they woh bar bar leekhte they aur utni hi baar read out karte they. Aisa karne se ek toh unki speed development, hand movement, eyes train, ear train kar lete they.
Ki woh jab bhi word ko sune toh ek dum woh word copy par put karde. Aisa karne se unke double benefit milta tha.
Woh apni leekhi hoyi shorthand ko ek din baad bhi read karte they, taki unko woh word bhool naa jaye, unko yeh confirm ho jaye ki jo practice hamne kal ki hai, kya woh hame aaj bhi yaad hai ya nahi.
2. Put Shorthand Outlines On the Line, Above the Line & Below the Line
लाइन के ऊपर, लाइन पर और लाइन के नीचे, शॉर्टहैंड कैरेक्टर लगाएं
Yeh 3 methods apko pata toh hai par ise follow koi koi karta hai. Fastest writers hamesha jo words line ke upar padta hai upar paate hai, jo line par padta hai woh line par aur jo neeche padta hai woh neeche hi paate hai.
Iska benefit yeh hota hai apko vowel place bahut hi kam ya nahi karne padte , aap character ko padte hi samaj jayenge ki yeh toh yeh word hai.
Par yeh sab karne ke liye hame shuru se hi aisi aadat honi chahiye, nahi toh agey jake yeh aadat dalni thodi mushkil hoti hai.
Jab aap aisa krne lag gaye toh apki automatic speed increase hone lag jayengi.
3. In spare time, they reading the paragraph and turns the pen with his fingers.
खाली समय में, वे पैराग्राफ पढ़ते हैं और कलम को अपनी उंगलियों से घुमाते हैं।
Jab bhi inko free time milta tha yeh library mai ya phir apne ghar mai shorthand book read karte huye apne pen ya finger ko hawa mai ghumate they.
Agar aap koi word read out kar rahe hai apke mann mai automatically outline banne lag jati hai, aur sochiye agar aap poora paragraph hi aisa karle toh apke mind mai sabhi outline fit ho jayengi.
Aisa karne se ek toh unka mind clear ho jata tha ki yeh outline aise banegi, fastest writer hamesha apne pen ko paper par put karne se pehle outline ka saaf character apne mind mai fit kar lete they.
Unka main motive yeh hota tha ki jab woh shorthand leekhte toh full accuracy hi acquire kare. Speed jab aani hoyegi aa jayegi.
Unka main motive hi yehi hota tha ki pehle accuracy phir speed.
Leaving speed to come when it would.
4. Daily Practice from English Newspapers
समाचार पत्रों से दैनिक अभ्यास
Woh daily practice newspapers mai se hi karte they, kyunki new and latest vocabulary apko newapapers mai se hi mil sakti hai.
Islayi woh daily newspapers mai se jo word new and difficult hote they unko ek copy mai leekh lete they aur unki bar bar practice karte they.
Unka ek aur method tha woh jitne bhi word find out karte they unko record kar lete they aur unko bar bar leekthe they, tab tak leekhte they jab tak unko yakeen na ho jaye ki unhone ne isme perfection hasil kar li hai.
Jab aap kisi word ko record karke leekhte hai toh apko ek aadat pad jayegi.. aur jab bhi aap woh word sunege toh ek dum se paper par put kardenge.
5. Daily Dictation Practice
Is baat ko apko kehne ki zarurat toh nahi hai par bhi bata doon woh ek din ek dictation ko kam se kam 25-50 times practice karte they.
Woh har paragraph mai itni perfection hasil kar lete they ki agar wohi dictation koi unko ek month, baad bhi bole toh bina galti kiye dictation ko leekh lete they.
Woh daily apni speed 10 to 5 WPM increase karne ki practice karte they agar aaj unhone ne dictation 80 wpm par leekhi hai toh kal ko wohi dictation 90 ki speed par leekhne ki koshish karte they.
Aisa daily kar kar ke woh higher speed achieve karte they.
6. Use Common Phraseography in Shorthand
Kehne ko toh English shorthand ki Phraseography bahut zyada hai iski koi limit nahi hai, par apko yeh baat pata naa ho ki Fastest Shorthand Writer bahut hi kam Phraseography ko use karte they.
Woh hamesha general use hone wale phrases use karte they like...
"it is," "which is," "there is," "I think," "I am," "we are," "do you," "are you," "there are," "must be," "can be," "are there," "in there," "did not," "do not," "had not.".
Jahan Jahan unko zarurat padti thi , jahan jahan words nal combine ho sakte they woh sirf woh words ko join karte they aur baki words ko single hi use karte they.
Unki single word paane ki speed hi itni hoti thi ki woh koi aam banda iske baare mai soch bhi nahi sakta .
Maine apko Niche kuch Paragraph show kiya hai Jisme Fastest Shorthand Writer ne bahut hi kam phrases use kiye hai.
Frank A. Williams at the rate of 210 words a minute, contains 33 phrases in 235 words33 Phrases ko Maine Red kar diya hai.
The Following written by George W. Bunbury s at the rate of 220 words a minute, contains 50 phrases in 283 words
50 Phrases ko Maine Red kar diya hai.
The Following written by Harry Toothhill at the rate of 276 words a minute, contains 41 phrases in 276 words
41 Phrases ko Maine Red kar diya hai.
I hope apne upar diye gaye paragraphs ko dekh liya hoga ki kitne kam phrases use kiye gaye hai World Fastest Shorthand Writers ki taraf se.
Islayi apko common, general phrases to daily english shorthand mai use karni hi chahiye.
7. Practice Must be Regular
अभ्यास नियमित होना चाहिए
Shorthand writers ek din mai takreeban 6 hours practice karte they aur unki practice continue hoti thi. Woh hamesha shorthand ko seriously lete they ki humko isme itni perfection hasil karni hai ki koi bhi galti naa ho jaye.
1. Careful Copying Exercises from Shorthand2. Put proper words signs and contractions3. Practice kiye huye aur unseen paragraph ki bar bar dictation lete they jab toh ki unhe yeh confirm naa ho jaye ki hamne isme perfection hasil kar li hai.4. Apne leekhi huye dictation ko bar bar read karte they.6.Practice new and difficult words7. Practice with pen movement in the Air8. Har paragraph ko machine par type karte they, aur apni mistake ko check karte they, uske baad phir paragraph ko type karte they....9. Daily practice from newspapers and taking dictations.
8. R.R Hitt Mastery in Shorthand Practice
R.R. Hitt , Abraham Lincoln ke personal stenographer reh chuke hai.
Hitt school time se hi shorthand ko karte aa rahe they, aur unki shorthand ko dekh kar bade bade writers bhi hairan reh jaate they, kyunki unki shorthand mai perfection bahut thi.
Par woh yehi nahi ruke unhone yeh decide kiya ki mujhe english shorthand mai sabhi words mai perfect banna hai.
R.R. Hitt bahut hi experience shorthand writer they ek baar unhone socha ki mai kaise shorthand mai har word ki perfection hasil kar sakta hoon.
Jab woh free hote shorthand ke baare mai sochte they ki mai kaise is country ka sabse best stenographer, reporter ban sakta hoon.
Unhone ek systematic attention se practice karni shuru ki, woh accuracy ke saath english shorthand mai sabhi characters ko leekhna chahte they.
Sabse pehle unhone ne ek recorder aur english dictionary buy ki aur usme dictation record karni shuru ki.
English dictionary mai jtine bhi words they us time mai woh saare device mai record kar liye A to Z.
Mr. Hitt poore One hour same dictation ko baar baar repeat karte, no pause,, woh dictation mai pause nahi lete they, jitni baar dictation repeat karte gaye utni baar hi automatic speed gain aur perfection hasil kar li thi unhone.
Unhone yeh nahi socha ki mujhe bahut speed chahiye , unka main focus tha ki unhe every character mai bas perfection chahiye.
Aur unhone takreeban six months daily one hour continue dictation practice ki, aisa karke unhone english ke sabhi character mai muharat hasil kar li thi.
Aur agey jake woh Abraham Lincoln ki personal stenographer, secretary bane, yeh unki mehnat hi thi jo unhe yahan tak le ayi thi.
Aur agey jake jake woh politics mai bhi aa gaye they.
9. Repetition Practice Must not be given Up
पुनरावृत्ति अभ्यास को नहीं दिया जाना चाहिए
Dictation se repetition practice ko kabhi bhi give up nahi karna chahiye, agar apse paragraph nahi leekha jaa raha toh aap wohi paragraph slow speed par bhi leekh sakte hai, aur holi holi speed increase karke baar baar paragraph leekhne ki koshish kare.
Agar aap kisi bhi paragraph ko give up kar rahe hai toh soch lijiye apne 400 words english ke miss kar diye according toh World Fastest Shorthand Writer Nathan Behrin.
I think ab aap samaj gaye honge ki shorthand mai repetition kitni zaruri hai, perfection hasil karne ke liye.
10. Mental Obstacles to the Attainment of Speed in Shorthand
शॉर्टहैंड में गति की प्राप्ति के लिए मानसिक बाधाएं
1. Indecision (असमंजस)2. Lack of Concentration ( ध्यान की कमी)3. Nervousness (घबराहट)4. Lack of Poise ( संतुलन का अभाव)5. Mind Wandering (मन का भटकाव)6. Sluggish Mental Habits (सुस्त मानसिक आदतें)7. Slowness of Perception ( धारणा की सुस्ती)8. No knowledge of Language (भाषा का ज्ञान नहीं)9. Unfamiliar Words (अपरिचित शब्द)10. Lack of Confidence in ability to read the notes (नोट्स पढ़ने की क्षमता में आत्मविश्वास की कमी)11. Poor Memory (कमजोर स्मृति)12. Consciousness of imperfection execution (दोषपूर्ण निष्पादन की चेतना)13. Unfamiliarity principles of the shorthand system (आशुलिपि प्रणाली के अनजाने सिद्धांत)14. Imperfect co-ordination between mental and physical (मानसिक और शारीरिक के बीच अपूर्ण समन्वय)15. Logical construction of the Shorthand system written (शार्टहैंड प्रणाली का तार्किक निर्माण)
I hope apko aachi tarah se samaj aa geya hoga ki Fastest Writer kaise practice karte they, agar aap bhi unke jaise banna chahte hai toh apko bhi daily practice karni chahiye.
Niche aap apne comments share kar sakte hai.
Dear Bro,
ReplyDeletePlease provide more dictation and paragraphs of 80WPM. 90WPM Page is giving error and doesn't opening after click. Kindly check and resolve the issue.
Page de error nu theek kar dita geya hai, english shorthand dictations daily tribune upload hundi hai 80 wpm di speed te, bahut hi jaldi 100 wpm speed te v shuru kar diti jayegi.....
DeleteLatest paragraphs tribune vich hi hunde ne isalyi english shorthand related tribune upload hundi rahegi daily......
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeletePost a Comment