How to Write Shorthand on Steno Notebook, mai ise bahut important topic samajta hoon ki hum jab shorthand ko seekhte hai toh outlines ko kaise likhna hai.


Kitni space de, size kya rakhe, concentration on notebook etc...

Aisi problem aksar students ko ati rehti hai aur woh bina soche samje continue shorthand ko isi tarah galat method use karte rehte hai....

Jiska sidha sidha asar speed and accuracy par padta hai, aur result yeh milta hai ki speed nahi nikal rahi. Apne aap se dukhi, nervousness, shorthand ko lekar demotivate hona....


Conversation with Student





Kuch din pehle hi iske regarding meri baat other student se huyi hai usne mujhe apni problem batai hai jo apko niche details mai explain kar raha hoon.

Student X  and Me


X: Sir meri outlines sahi nahi padti jab mai likta hoon bigad jati hai mai kya karu please meri help kare.


Me: Jo outlines proper nahi padti uski bar bar practice kare , aur phir same matter ki dictation lekar leekhe...

X: Sir jab mai speed par leekhta hoon toh hand par control nahi rehta, jiske karan kafi space deta hoon  outlines mai.



Wrong Spacing Between Outlines 80 wpm

Me: Aap jab bhi dictation leekhe toh hamesha ek outline se dusre outline par jaane ke liye kam space le, yeh nahi ki ek outline kahan toh dusri kahi aur. ( Shown in Picture Student Outlines)


X: Sir, mai aisa kya karu jisse meri outlines bilkul correct aur saaf pade aur mai zyada space bhi naa du.

Me: Hamesha dictation leekhne se pehle apne mind ko clear rakhe, wasteful space nahi deni aur jo outline apko nahi pani aati uski practice pehle se hi karle, agar aap test mai hai toh uss outline ko chor de.

Agar ek outline ke chakar mai pade rahe toh apko time aur test dono hi waste jayenge.


  • Wasteful Spacing naa de
  • Outline ko hamesha vowel lagakar leekhe
  • Jo outlines aap vowel ke bina read kar sakte hai us par vowel lagakar apna time save kare.



Aisa karne se apki speed par automatic farak padega kyunki yeh mera khud ka experience hai aur Fastest Shorthand Writers Charles Swem and Nathan Behrin bhi aisa hi karte they....


Yeh meri conversation thi jo maine kuch din pehle hi student se ki.. unko yeh problem aa rahi hai.



1. Passing From One Outline to Another 






Jab bhi aap practice kar rahe hai yaa phir dictation lekar leekh rahe hai toh apne mind mai hamesha is baat ka dhyan rakhe ki hamne easily one outline se dusri outline par smoothly jana hai.



Yeh nahi ki aap jaladbazi mai shorthand ko leekh rahe ho ki bas jaldi jaldi poora karna hai aisa karoge toh apki outline galat padengi.


Aap practice itni kare ki apka pen bahut hi smoothly one outline se another outline par bina kisi hesitation se chale, agar aap shorthand likhte waqt hesitation, nervousness ho rahi hai toh samaj le apki practice ki kami hai.


According to Fastest Shorthand Writers Martin Dupraw, Nathan Behrin, Charles Swem 
"एक आउटलाइन से दूसरे में जाने के लिए पेन को कागज से ऊंचा न उठाएं"
"In passing from one outline to another do not raise the pen higher"

Yeh yaad rakhe ki aap jitni door pen lekar jaoge utni hi apka time waste hoga..


2. Spacing Between Shorthand Outlines



Writing Shorthand on 80 wpm


Aap upar saaf saaf dekh sakte hai ki Stenographer kaise easy way mai shorthand leekh raha hai

Apko bhi aise hi leekhne ki aadat dalni hai, yeh aap tabhi kar sakte hai agar aap aisa sochenge, agar apke mind mai hoga ki humne wasteful space nahi deni shorthand mai toh aap bhi isi tarah clear shorthand leekh sakte hai.



Right Spacing Between Outlines 110 wpm

Yeh shorthand 110 wpm ki speed mai likhi huyi hai , aap dekh sakte hai ki isme kitni space hai between outlines aur outlines ki shape bhi bilkul sahi hai..


3. Size of Shorthand Notes






Jab hum dictation leekhte hai toh aksar tezi mai outlines ka size bada aur chota kar dete hai, agar aap koi outline badi paar rahe hai toh yaad rakhe ki apka half second time waste ho geya.

Agar aap shorthand characters ek saath ek hi shape and size mai paa rahe hai toh apka utna hi time save hoga. 


Yeh apko khud karna hoga koi apka haath pakad ke apko steno ka size seekhane wala nahi hai.

Apko apni outlines ek brabar leekhni hai taki apka time save ho aur aap speed se leekhte jaye bina kisi rukawat ke.


Jitna ho sake outlines ki shape ko theek rakhe yeh nahi ki koi outline aap badi pa rahe aur koi outline bilkul hi choti.

Hamesha outlines ka siza brabar rakhe. Yeh tabhi hoga jab aap iski bar bar practice karenge.

Practice, Practice, Practice outlines ki proper shape and vowels lagana apko practice and patience ke saath hi aa sakta hai.



"Practice Makes Man Perfect"



4. Concentrating the Attention


Shorthand ko jab bhi leekhe poore concentration ke saath likhe. Bina concentration and focus kiye aap kabhi bhi shorthand ki high speed par nahi paunch sakte.


Kabhi kabhi beech mai shorthand likhte waqt apka mind divert ho sakta hai ki mujhse nahi likhi jaa rahi yaa phir apko koi aur baat ka dhyan bhi aa sakta hai.

Par yeh yaad rakhe ki apki ki gayi practice, mehnat, lagan, concentration on shorthand hi apko success kar sakti hai.

5. Mind Wandering

Aksar shorthand ko leekhte hoye hamara (मन का भटकाव) hota hai yeh takreeban hamare mind ke upar hota hai.

Shorthand ko galat leekhne ka sabse bada reason Mind Wandering  hai, jiske karan hum shorthand ki practice, ya speed dictation nahi leekh pate.

Shorthand ko copy par leekhne se pehle apne mind ko set karle ki humne 5 minute tak bilkul bhi apna मन mai kuch nahi aane dena, apki eyes bilkul pen ki nib and shorthand lines ki taraf hi honi chahiye. Isse apka Mind bilkul bhi kuch aur nahi sochega.


6. Sluggish Mental Habits- (ਸੁਸਤ ਮਾਨਸਿਕ ਆਦਤਾਂ)

Shorthand continue practice wala subject hai, agar aap isme lazyness dikhaenge toh aap isme kabhi bhi success nahi ho sakte.

Isme apko hamesha apni Mental Habits ko door karna hoga, jaise ki....


  • Hum shorthand ko leekhlenge
  • Shorthand karlenge
  • Kal Karlenge
  • Aaj bahut karle kal karke kya karna hai
  • Shorthand karte karte kuch aur sochna
  • Leekhna kuch aur sochna kuch


7.  Always keep one word behind when writing dictation


डिक्टेशन लिखते समय हमेशा एक शब्द पीछे रखें

Jab hum dictation ko khud leekh rahe hote hai ya koi hume dictation bol raha hota hai hamesha hame ek word piche hi rehna chahiye.

Kyunki jab hum ek word peeche rahenge toh hamari shorthand par pakad aachi rahegi aur hum apni manzil ki taraf badte jayenge.

Agar aap dictator ke bilkul nal nal leekhte ho toh apko nuksan ho sakta hai, kyunki aap speed catch karne ke chakar mai word mistake kar sakte hai.

Jaldi jali mai aap word galat leekh sakte hai us waqt apka mind bahut fast decision leta hai agar dictator ne word bola petitioner toh aap jaldi jaldi mai "petitioners" paa sakte ho ek "S" ki wajah se apki galti ho sakti hai.

Kyunki us waqt hamara hand par control hona bahut zaruri hota hai agar aap ek word peeche rahenge toh aap easily dictator ke word ko aachi tarah sunkar leekhenge agar aap saath mai chalenge toh aap yakeenan koi na koi galti kar bethenge.

Yehi choti choti mistake ki wajah se aap merit mai nahi aa pate us waqt dictator ki sound ko bilkul clearly sunkar leekhe.

Islayi meri suggestion yehi hai ki aap hamesha dictation leekhte waqt ek word peeche hi rahe.



End mai apko bas yehi kehna chahta hoon ki aap shorthand notebook ke upar jab bhi leekhe toh upar batayi gayi baaton ka carefully dhyan rakhe.




Agar apko shorthand related kuch nahi samaj aata toh aap freely niche comment kar pooch sakte hai. 

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post