Causes of Hesitation in Shorthand aaj mai apko iske upar apne vichaar share karunga. Causes of Hesitation in Shorthand kya karan hai jiske wajah se hamara hand rukta hai shorthand likhne mai.




Hesitation ko shorthand ka dushman mana geya hai ise simple way mai World ke best shorthand writers ne one line mai describe kiya hai.

 "Frequent hesitation as to the proper form of words takes away very much from the facility of the writing. Andrew J. Graham."


"Speed depends chiefly upon the ability of the writer to make the various outlines of words without hesitation. James E Munson."

Kyu hum shorthand likhte likhte ruk jate ya phir ek dum mind mai se words hand par nahi aata.

99% stenographers dictation start karte huye jab likhte hai toh unhe hesitation mehsoos hoti hai jiski wajah se speed par asar padta hai ya phir woh dictator se piche reh jate hai.

Maine iske upar research kiya hai ki aise kya karan hai jise door karke hum hesitation par kaboo paa sakte hai. 


Reasons of Hesitation


1. Immature Practice


Bahut se students shorthand jab shuru karte hai toh unke mind mai yeh hota hai ki jaldi jaldi outlines seekh kar speed banani hai.

Kayi baar students aisa kar bhi lete hai par proper outlines mind mai naa ane ke karan unko speed dictation likhte waqt hesitation hoti hai aur woh likhte likhte ruk jate hai ya phir unke words skip ho jate hai.

Is sab ke piche karan kam practice ka hota hai kyunki unhe har outlines ko sirf 10 bar hi likha hota hai. 

Unhe lagta hai ki hume outline yaad ho gayi par outlines ko yaad nahi hand par tikana hota hai ki jab dictator bole woh outline ek dum se paper par likhde.

Speed dictation par likhte waqt apko kam se kam 10 baar paragraph likhna hai taki paragraph ki outline apke mind mai beth jaye aur aap ek dum ose paa sake.

Jaise jaise aap aisa karte jayenge apki hesitation door hoti jayegi apka hand naa hi rukega aur naa hi sochna padega likhe waqt.



2. Slow Hand


Hesitation ka dusra bada karan hai slow hand. Bahut se students shorthand ke bahut hi lightly lete hai aur slow slow practice karte hai.

Jab aap practice karte hai toh hamesha apne ko fast chalaye outline bhi galat nahi peni chahiye aur apka hand bhi tez chale.


Also Read: Steno Mai Fail Hone Ke Karan

Aisa karne se apko fast likhne ki aadat pad jayegi . Jaise jaise aap aisa karte jayenga aap easily 80 wpm ki speed bina dication liye hi bana sakte hai aur aisa hua bhi hai. 


"Mr A.J ne 1896 mai 80wpm ki speed se first position par test pass kiya tha aur unhone ne life mai kabhi bhi dication practice nahi ki thi woh sirf paragraph ko baar baar repeat karte they jitne bar woh repeat karte gaye utni baar hi unki speed develop hoti gayi."


3. Improper Outlines and Vowels

Third reason improper outlines hai jo hesitation ka karan banta hai. Speed par likhte waqt galat outlines pana aur baad mai read naa kar pana.

Jab hum practice karte hai toh kabhi kabhi apni taraf se hi outlines develop kar lete hai jo shorthand method se match nahi karti aur result yeh milta hai speed dictation par likhte waqt hum jaldi jaldi mai galat outlines pate hai.


Jab ek galat outline pad jaye toh hum gabhra jate hai aur iski wajab se theek outlines bhi galat padne lagti hai. 

Meri yehi suggestion hai ki aap jo outline likh rahe hai woh bilkul accurate hi paye ya phir apne teacher se concern kare. Galat outlines apko fail ki line mai khada kar sakti hai.


Kyunki shorthand all depends on outlines isliye outline par proper dhyan de jo bhi galat outline ki aadat apme hai use aaj hi correct kare.


4. Entering in Speed Practice Very Early

Punjab mai bahut se institutes book khatam karne ke baad ek dum hi 100 wpm ki speed se students ko dication bolna shuru kar dete hai jiska result bahut hi kharab milta hai.


Dication practice hamesha slow speed se karni chahiye jitni apki capacity hi likhne ki pehle aap 60 wpm ki speed se shuru kare phir holi holi speed ko increase kare.

Also Read: Shorthand Mai Speed Increase Kaise Kare

Kayi baar Students ko yeh lagne lagta hai ki unhe sari shorthand aa gayi aur woh ek dum high speed par jump karte hai jiska result yeh milta hai ki woh galat outlines pana shuru kar dete hai aur yehi aadat unko shorthand mai fail karwa deti hai.


Immature practice ho toh kabhi bhi high speed dictation naa likhe agar likhenge toh outlines galat padti jayegi.

Jaldi speed practice par jump karna bhi hesitation ka sabse bada reason hai.



5. Wasteful Spacing





50% students shorthand likhte waqt wasteful spacing karte hai ek outline likhe ke baad bahut space dete hai agla symbol likhne par.


Jab bhi dictation likhe toh hamesha outlines ko saath saath likhe zyada space naa de. Agar aap zyada space denge toh apko next symbol likhne mai time lagega aur apko pata hoga ki shorthand test mai time ki kitni value hai.


Correct Style




Jitni aap zyada spacing denge utna hi late aap next symbol par jayenge. Shorthand ko jab bhi likhe toh kam space dekar hi likhe.


6. Loss Occurring During Pen-Lifts

Bahut students shorthand likhte time fazool hi pen ko lift karte hai kyunki unke mind mai words nahi aata aur woh pen lift karke word likhte hai jiski wajah se woh hesitation ka shikar hote hai.


Jitne baar aap waste pen lift karoge utna time apka waste hoga dictation likhte waqt. Agar apko ko bhi pen lift karne ki aadat hai toh aaj se chor de kyunki yeh aadat apko steno mai kabhi bhi success nahi kar sakti.

Dictation likhte waqt apna mind aur hand mai yeh sochle ki pen ko fazool lift nahi deni hai aur correct outline hi pani hai. Aisa karne se apki yeh aadat chali jayegi.



7. Shorthand Principles

Hesitation ka last aur sabse bada reason hai shorthand principles na pata hona.


Bahut baar students ko shorthand principles ke baare mai pata nahi hota aur woh apni taraf se hi practice karte rehte hai jo unko ek galat direction mai le jati hai.

Practice karte waqt apko shorthand principles yaad hone chahiye ki vowels placing kahan kahan karni hai yeh nahi ki jab dil kiya wahan vowels ko place kar diya.

Jab galat likhne ki aadat student ko pad jati hai toh woh hamesha shorthand ko galat likhte hai aur galat hi read karte hai. 

Isliye shorthand ko dhyan se likhe ki jo bhi word hum likh rahe hai kya woh correct hai agar correct nahi toh hum kya galti kar rahe hai.

Jab aap aisa sochenge toh aap kabhi bhi galat outline nahi paa sakte.


At Last

I hope ki apko samaj aa geya hoga ki shorthand likhte waqt hume hesitation kyu mehsoos hoti hai maine upar sabhi reasons apko proper tareeke se explain kar diye hai.



Niche comment karke aap shorthand related kuch bhi pooch sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post