How To Increase Speed in Shorthand yeh baat sabhi ke mind mai aati hai ki hum shorthand mai speed kaise increase kare. 

Jo bhi starting mai shorthand ko shuru karta hai woh yehi sochta hai ki hum speed par kab ayenge aur hamari speed kaise increase hogi. 

How-To-Increase-Speed-in-Shorthand


Jaisi jaise student shorthand ko karta rehta hai woh yeh nahi dekhta ki jaise jaise woh word practice kar raha hai one by one word uske mind mai fit beth ta jaa raha hai. 

Jitne words apke mind mai fit hote rahenge wohi words mind ke through apke hand par ayenge aur yehi words ko age jakar aap speed par likhte ho dictation ke liye. 

Par yeh sab baatien apko pehle samaj nahi aati. Yeh sab agey jakar pata lagta hai jab aap book complete karke dictation par aa jata hai.

Speed ek din mai nahi banti iske liya apko continue practice rakhni padti hai aap jitni practice karte jaoge aap success ke utne hi nazdeek paoge.

Koi bhi stenographer ek din mai Steno nahi banta jitne bhi steno bante hai uske piche uski mehnat hoti hai.  




The Speedy Hand




Jo student yeh sochte hai ki woh kabhi bhi speed increase nahi kar payenge toh woh galat sochte hai.

Jo aise students hote hai ya toh unke mind mai hota hai ya phir unke hand mai. Ki hum kabhi bhi speed par nahi likh payenge.

Jab aap 100+ speed ke bare mai sochte ho toh apko lagta hai aab aap increase nahi kar paoge.

Woh isliye hota hai apki practice bahut kam hoti hai aur aap iss stage par untrained hote ho kyunki fast speed par likhne ke liye practice bhi bahut chahiye

Kyunki jo word mind mai clear nahi hota hai usko hand tak paunche ke liye time lagta hai tabhi aap fast speed par woh word nahi likh pate. 

May 1896 ko iske upar ek experiment kiya geya tha ki kyu kuch students speed se nahi likh paate kyu unka hand rukta hai fast speed par likhte huye.

Ek Student ko pehle 100 wpm ki speed se 500 words ka paragraph de diya dictation ke liye jisme woh likh nahi paya aur usne mistake bhi bahut kar di.

Uske baad student ko Same paragraph diya geya likhne ke liye. Usne same paragraph 50 times likha aur  uske baad phir usko same dictation boli gayi. Result samne yeh aya ki student ne easily dictation ko likh liya bina koi mistake kiye.

Naa hi student ko koi hesitation huyi dictation likhte huye. kyunki same paragraph copy karne se student har word ke saath familiar ho raha tha aur words  mind mai fit beth rahe they.

Same paragraph aap jitni baar likhte jaoge utni baar hi hand ki rapid movement increase hoti chali jayegi apko pata bhi nahi lagege ki apki  speed automatic increase ho rahi hai. 


World Fastest Shorthand Writer Nathan Behrin Suggestion 



World ke sabse  fastest steno writer jinhone 350 words per minute ki speed banayi thi unhone student ke liye kuch suggestion di hai ki woh kaise apni speed increase kar sakte hai. 


Nathan Behrin kehte ki sabse pehle aap shorthand system ko aachi tarah samaj le aur apke mind mai proper steno letters and outlines aani chahiye. Uske baad speed practice par aaye.

Dictation likhne se pehle apka mind bilkul clear hona chahiye. Yeh nahi ki apke mind mai koi hesitation ho. 



Inhone ne practice karne ka sabse best method bataya hai ki aap ek word ko select karle aur bar bar usi word ko likhe isse word aachi tarah apke mind mai fit beth jayega.

Aur apki shorthand smooth hoti jayegi. Behrin kehte ki aap jo bhi dictation likh rahe ho uske baad apni dictation ko printed matter ke saath match kare ki apki kitni mistake ayi hai. 

Aur jo mistake aayi hai usko kam se kam 25 to 30 times tak likhe jab tak woh apke hand par naa char jaye. 


Sabse pehle dictation ko slow speed par likhe aur uske baad dictation ki speed ko increase karte jaye jaise ki pehle apne 80 WPM par likhi uske baad same matter ko 90,100, 110, 120 wpm tak likhe. 

Jab aap 120 WPM ki speed par paunch jayenge toh uske baad 5 wpm karke speed ko increase kare jaise 125, 130, 135 aise karke apki speed increase hoti jayegi. 

Kyunki 120 wpm ki speed ke baad mind ko control karna thoda difficult ho jata hai par namumkin kuch bhi nahi hai aap continue practice karoge toh ho jayega.

Shorthand Phraseography ka use jahan par hota hai zarur use kare aisa karne se apki speed increase hogi aur aap easily 3 to 4 words likh sakte ho.

Dictation likhne se pehle agar aap difficult steno letters word ki practice karle toh woh bhi better rehta hai. 


Continue Practice Words and Dictations

Speed par dictation likhne ke liye apko words ki practice karte rehna hai aur regular dictation karni hai chahe woh kuch time ke liye kyu naa ho.

Jaise jaise aap day by day dictation karte jaoge automatically speed increase hoti chali jayegi. 



Jo mistake hoti hai unko aap circle karke correct kare aur unki bar bar practice kare tab tak jab tak aap uss word mai perfection nahi pa lete. 


Dictation likhte time jo words galat huye hai unki practice karke wohi same dictation ko phir se likhe aisa karne se aap perfect hote chale jayenge. 

Saath mai grammalogues bhi practice karte jaye taki dictation likhte hue apko sab kuch yaad rahe. 


Use Always Pen



Apko dictation likhte time sirf pen ka hi use karna hai. Iske upar maine pehle hi article likha hua hai aap read kar sakte hai. 



I hope apko pata chal geya hoga ki apko shorthand mai speed kaise increase karni hai. 

Shorthand se related mai articles share karta rahunga taki aap har time motivate reh sake.


Apko mera yeh article kaise laga niche comment karke zarur bataye

2 Comments

  1. Sir kya steno seeekh ne k baad 90 ki speed kitne mahine I baad aa jati hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. yeh apke upar hai aap shorthand mai kitna effort laga rahe hai, mere bahut se steno friende ne steno seekhne ke baad 2 months mai hi 90 ki speed par leekhna shuru kar diya tha.. yeh bas apki mehnat ke upar hai ki aap shorthand ko kitna time de rahe hai.... speed apne aap ban jayegi...

      Delete

Post a Comment

Previous Post Next Post