Steno Mai Fail Hone Ke 7 Karan aaj mai iss topic ke upar apna experience aap logo ke saath share karunga. Steno Mai Fail Hone Ke 7 Karan kya hote hai?





Jab se maine shorthand shuru ki hai aur aaj maine iske upar website bhi bana li hai itna toh mujhe pata chal geya hai ki bina mehnat kiye aap life mai kuch bhi hasil nahi kar sakte.


Aaj mai aap logo ke saath  apna experience share karunga aaj tak maine jo bhi exam mai dekha ki kya hota hai, hum bar bar kyu fail hote hai iske piche kya reason hota hai yeh sabhi mai aap logo ko bataunga. 


Isse shuru karne se pehle mai apko ek baat clear kar dena chahta hoon ki aap apni life mai shorthand kar rahe hai toh aap kabhi bhi piche mud kar naa dekhe kyunki safalta aapse kuch doori par hi hai.



1. Interest

Shorthand mai sabse main baat hai interest agar aap shorthand ko lekar serious nahi hai , aap steno ko lekar koi interest nahi hai ki hum kyu yeh symbol seekhe. Toh mai apko kahunga aap aaj hi shorthand ko seekhna band kar de.

Shorthand kabhi bhi interest ki bina nahi aa sakti, Interest hi nahi hoga toh shorthand apke liye kisi kaam ki nahi hai. 


Maine apni life mai bahut se students ko dekha hai jo shorthand shuru karte hi chor dete hai woh sochte hai ki hum urdu likh rahe hai. Woh ise dekh kar itna darr jate hai ki hum yeh kaise karenge.


Par unko yeh nahi pata ki yeh shorthand unko life mai success de sakti hai.

Shorthand ko jab bhi likhe toh hamesha interest lekar leekhe aap yeh naa samje ki shorthand aap par bhoj daal rahi hai.

"अगर पहले हम ये जन लें की हम कहाँ पर हैं और हम किस दिशा में जा रहे हैं, तो हमें क्या और कैसे करना चाहिए इसका बेहतर निर्णय कर सकते हैं"

2. Practice


Shorthand mai practice ki importance sirf stenographer hi samaj sakta hai ki practice kitni zaruri hai shorthand mai. 


Bina practice kiye aap kabhi bhi shorthand mai safalta hasil nahi kar sakte chahe aap jitne marzi koshish karle.

Bahut se students jab dil kiya practice karli nahi toh nahi karte aur kuch students paper ke kuch din pehle apni practice karte hai uska result yeh milta hai ya toh unki mistake zyada aati hai ya phir fail ho jate hai.

Kafi students shorthand dictation lekar apni likhi huyi shorthand notes ko computer ya machine par type nahi karte woh samajte hai ki shorthand likh li, type karke kya karna hai ise wajah se yeh fail hone ka sabse bada karan banta hai.

Kyuni type karke hi hume apni mistakes  ka pata chalta hai.

Is sab ke piche reason practice ka hota hai , jo jitne practice smart tareeke se karta hai woh pass ho jata hai. 


Shorthand mai practice roz karni chahiye chahe woh 20 mins ke liye hi kyu naa ho. 

Jaise jaise aap practice karke apni mistake kam karte jayenge aap safalta ko utna hi pass payenge.
"अपने सपनों का पालन करें, कड़ी मेहनत करें, अभ्यास करें और दृढ़ रहें"। 



3. Change Outlines

Bahut se students shorthand likhte huye apni hi outlines bana lete hai jiska koi matlab nahi hota.

Jab change outlines speed dictation mai pate hai phir woh read nahi kar pate ya phir type karte huye kuch aur likh dete hai.

Hamesha har words ki correct outlines hi pani chahiye jisse ki hamari test mai mistake kam ho. 

Punjabi shorthand mai jis student ne jo shorthand seekhi hai jaise Late Sardar Rajinder Singh Ji aur Sardar Kartar Singh Ji ke book ke according hi outlines pani chahiye.

Agar apne koi outline adopt karni hai toh bas adopt karke phir change naa kare ek baar change ki toh sari life wohi outline paate rahoge speed dictation mai.


"अपनी असफलताओं से अनुभव प्राप्त करें"



4. Patience


Shorthand mai patience rakhni bahut zaruri hai bina patience rakhe aap life mai kabhi bhi koi mukaam hasil nahi kar sakte yaad rakhe ki koi bhi Actor, Entrepreneur, Engineer, Company ek din khadi nahi huyi.

Life mai kuch banne ke liye Patience bahut zaruri hai. Maine apni life mai bahut students dekhe hai ki woh patience nahi rakh pate aur shorthand ki line change karke koi aur line pakad lete hai.

Woh yeh bhool jate hai ki safalta kuch hi doori par unka intezaar kar rahi hai.


Aap kisi bhi bade Insaan ko dekh le koi bhi bina patience rakhe kamyaab nahi huya life mai. 

Isiliye shorthand ke line mai aap aana chahte ho toh apko patience rakhna hoga kyuni aachi cheez hone mai waqt lagta hai. 


         "जीवन की असफलताओं में से कई लोग ऐसे लोग हैं जिन्हें यह नहीं पता था कि वे हारने पर सफलता के कितने करीब थे"।



5. Demotivate


Shorthand mai yeh bahut bada factor hai ki students paper mai fail hokar demotivate ho jate hai aur woh shorthand ki line chorne ka mann bana lete hai.


Shorthand mai speed gain nahi kar pana yeh bhi demotivate hone ka reason hai bahut se students isi reason se shorthand chorte hai.

Aap shorthand exam mai chahe 50 baar bhi fail ho jaye par apko demotivate nahi hona hai kabhi bhi. Apko yeh pata karna hai ki hum mai woh kya kami jiski wajah se hum bar bar fail ho rahe hai.

Koshish karte rahe yehi koshish hi apko apki manzil tak le jayegi.

"इससे कोई फर्क नहीं पड़ता कि आप कितनी गलतियां करते हैं या आप कितनी धीमी गति से प्रगति करते हैं, आप अभी भी उन सभी से आगे हैं जो कोशिश नहीं कर रहे हैं"।



6.  Compare 


Shorthand mai fail hone ka sabse bada reason yeh bhi hai ki students apne aap ko dusre students ke saath compare karte hai.

Ki uski itni jaldi speed ban gayi meri toh bani nahi, mai sabse peeche reh geya woh yehi soch soch kar apna time waste karte hai inn sab ke karan hi woh shorthand mai fail hote hai.


Shorthand ko shuru karte waqt kabhi bhi apne aap ko kisi ke saath compare naa kare hamesha apne goal par focus rakhe ki maine yeh seekh kar apna best dena hai. 

Agar aap apne aap ko kisi ke saath compare nahi karenge toh 100% sure safalta apke kadam chumegi. 


"आप अपनी तुलना अन्य लोगों के साथ मत करो। पता करें कि भगवान ने आपकी क्षमता में क्या रखा है"।

7. Luck

Shorthand ke paper dete waqt apne suna hi hoga kisi student se ki sab kismat ki baat hai mehnat se kuch nahi hota yeh, woh etc etc.

Jo log yeh baat karte hai woh khud se pehle hi demotivate hote hai aur dusron ko bhi karte hai.

Kayi baar yeh sab sunkar students koshish aur practice karna dono band kar dete hai aur sab kuch Kismat ke upar chor dete hai


Jitna mera experience hai shorthand se related toh aap Kismat ke baare mai soch kar apna keemti time waste naa kare.

Aap apni practice par concentrate kare ki hum me kya kami hai usko door karne ki koshish kare. 

Jab apki practice perfect hogi toh luck bhi apke saath dega aur apko pata bhi nahi chalega ki aap pass ho gaye.

Luck ke baare mai na soche apki life mai jo bhi hoga aacha hi hoga apko yeh tab pata chalega jab aap apni manzil par paunch jaoge.

"भाग्य बहुत अच्छा है, लेकिन अधिकांश जीवन कड़ी मेहनत है"


At Last

I hope sabhi ko pata lag geya hoga ki shorthand mai fail hone mai kya reason hote hai. Aap log roz apni practice continue rakhe ek din aap zarur safal ho jayenge.

"कोई भी मुझे सफलता दिलाने वाला नहीं है। मुझे बाहर जाना होगा और इसे स्वयं प्राप्त करना होगा"



Niche comment karke aap kuch bhi pooch sakte hai

4 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post