Steno Paper Ke Liye Kon Sa Font Use Kare yeh punjab ke students ke liye aaj kal bahut badi confusion ban chuki hai. Steno Paper Ke Liye Kon Sa Font Use Kare yeh mai details mai explain karunga. 


Steno-Paper-Ke-Liye-Kon-Sa-Font-Use-Kare


Pichle ek saal se Punjab mai Raavi font aa jane se bahut students ko confusion ka samna karna pada hai. Kyunki jab hum pehle 10 saal se koi font use kar rahe hote hai agar koi new font aa jata hai toh bahut hi zyada confusion hoti hai. 

Par apko confuse hone ki zarurat nahi hai mai apko iske bare mai detail mai explain karunga.


Asees Font 

Pehle hum baat karte hai asees font ki. Yeh kahan kahan aur kis paper mai use hota hai. 

PSSSB mai sabhi jante hi hai ki woh punjabi steno paper machine par lete hai isliye wahan par only asees font hi chalta hai. 
PSSSB jab bhi paper leta hai only machine par leta hai. Toh meri suggestion yehi hai ki jisne bhi PSSSB steno typist ki tyari karni hai woh only Asees font means machine par hi apni tyari kare.

Mujhe nahi lagta ki PSSSB kabhi computer par paper lega woh isliye ki wahan jo bhi student hostel mai padte hai woh only Punjabi typing machine use karte hai. 



Toh baat saaf hai paper machine par hi hoga. Agar aisa kuch hua bhi toh PSSSB pehle hi notification issue kar deta ki usne paper Raavi mai lena hai. Par aisa kuch nahi hua.

Agar koi notification aaya bhi toh PSSSB website par upload ho jayega.


Raavi Font

Raavi font recently poore Punjab mai use ho raha hai. Agar aap punjab mai kisi bhi jagah paper dene jayenge toh woh paper computer par hoga.


Koi New Post Notification mai yeh mention nahi kiya hua ki paper kis font mai hoga toh samaj lijiye aap dono font use kar sakte ho. 

Agar notification mai yeh likha hua only Raavi font mai paper hona hai toh phir aap Raavi mai tyari karke paper de.



Raavi-font

Computer par aap dono font use kar sakte hai Assses bhi aur Ravi font bhi. Apko bas niche se option change karni hai click karte hi sara computer raavi font mai convert ho jata hai. 
Convert karne ke baad aap easily Raavi mai type karke paper de sakte hai. Bas uske liye apko Raavi typing aani chahiye.


Thapar University Steno Typist Exam

Thapar university mai bhi ab Raavi font mai hi paper liya jata hai kyunki punjab rules ke according change ho chuka hai. 

2017 October se Thapar university mai  Punjab Govt ke jo bhi paper hote hai woh only Raavi Font mai hote hai. Agar apko thapar mai paper dena hai toh waha aap Raavi font ki tyari karke jaye.

Thapar University ko jab bhi Punjab Govt paper conduct karne ko kehti hai toh kam se kam notification ke baad apko one month mil jata hai tyari karne ke liye.

Aap easily Raavi font seekh ke paper de sakte hai aur clear bhi kar sakte hai. 

Asees font se Raavi font par aane ke liye kam se kam 5 days lagte hai. Kuch bhi difficult nahi hai practice karne se sab kuch mumkin hai. 

Niche apko bata raha hoon ki kaise Font ko install kare computer mai.


How to Install Raavi Font 

1. Sabse pehle control panel mai jaye.




2. Phir Regional Language par click kare.



3. Uske baad isko kholne ke baad Keyboard and Laungage click kare.


4. Phir change keyboard par click kare.


5. Then Add par click kijiye.


6. Add mai jakar Punjab India find karke uspar click kare.


7. Isko kholne ke baad Punjabi par click kar dijiye.


8. At last Raavi font install ho chuka hai uske baad niche taskbar mai language change karke Raavi font mai type kar sakte hai.

Raavi-font





Maine apko details mai explain kar diya hai ki apko kab aur kaise Raavi aur asses font ko use karna hai steno-typist ke exam ke liye. 

I hope apko samaj aa geya hoga ki Asees aur Raavi font kab aur kahan use hota exam ke liye.

Post a Comment

Previous Post Next Post