Yeh story 2015 ki hai jab mai shorthand mai perfect tha aur maine Punjab Govt. Deptt mai Junior Scale Stenographer ki post fill ki thi.
Mai apko department ka name mention nahi karunga, par iss department ne meri life ko poori tarah se change kar diya tha.
Maine yeh kabhi nahi socha tha ki yeh paper mujhe zindagi ke kis mod par leke jayega....
Lets the Story Begin
Yeh baat hai takreeban December 2014, ki hai jab mai shorthand ki tayari karta tha, aur osi time 2014 December mai Junior Scale ki job nikli thi.
Filhaal isse pehle bhi mai Govt. Job ke 3 steno exam pass kar chuka tha par mujhe general category ki wajah se, job nahi mili thi, par iss post se mujhe bahut umeed thi ki mai Junior Scale Steno banuga.
Maine yeh post fill karke din raat mehnat karni shuru kar di thi, kyunki us time Junior Scale Stenographer mai competition Zero ke barabar tha, aur aaj bhi hai.
Mujhe umeed thi ki mai yeh paper pass karke Junior Scale Stenographer Ban jaunga aur meri life set ho jayegi, par zindagi ko kuch aur hi manzoor tha.
Takreeban 3 ya 4 months baad iska paper aa geya, mere ghar par roll number bhi aya, mujhe khushi thi ki meri tayari aachi hai aur mai paper pass karlunga.
Paper chandigarh mai tha aur mai bus pakad kar chandigarh ke liye nikal geya. Jaane se pehle maine gurudware matha tek liya tha.
2 ghante ke baad mai chandigarh paunch geya aur mai exam hall ke bahar khada apne batch ki wait kar raha tha.
Mai kuch nervous tha andar se ki kaisa paper ayega , kya hoga, par mujhe apni tayari par confidence tha, takreeban 1 ghante baad meri batch ki turn ayi aur mai room mai enter ho geya.
Instructor ne steno instructions di aur sabko shorthand copy pakda di dictation note karne ke liye , 15 minutes baad instructor ne kaha dictation leekhe.
Ready, keh kar dictation shuru ho gayi, punjabi dictation 100 WPM par maine sari cover kar li , aur uske 5 minute baad english dictation 60 WPM ki speed se boli gayi, woh bhi maine catch karli.
Mai bahut khush tha ki maine sab kuch leekh liya hai ab bas type karna hai, phir mujhe computer table par bithaya geya, aur maine pehle punjabi ka paragraph type kiya.
Uske baad maine english ka paragraph type kiya, yeh dono paragraph type karke mai exam hall se bahar aa geya.
Mujhe andar se khushi thi ki is baar mera paper pass hai, mai phir chandigarh se patiala ghar aa geya.
1 month ke baad iska result aa geya, aur maine dekha list mai mera naam hi nahi hai. Aur mai ek dum se shock ho geya ki yeh mere saath kya ho geya.
Mera paper itna aacha hua tha aur mera name hi nahi hai, mai ek dum se depress ho geya tha ki mai kaise fail ho sakta hoon, mujhe yakeen nahi ho raha tha.
Aise hi sochte sochte 1 month aur nikal geya, aur mujhe mere friend ne R.T.I Act ke baare mai bataya, ki aap RTI act ke through apna paper ghar par mangwa sakte hai.
Maine friend ki baat sunkar RTI Act ke baare mai jankari li , aur ek din mai saara Act revise kar liya , ki yeh kaise use hota hai.
Used RTI Act
Maine 03.06.2015 ko first RTI under Section 6 (1) ke andar letter leekhi aur , aur sara form fill karke maine Deptt. mai RTI Bhejdi.
3 din baad hi mujhe RTI ka reply aya ki aap hamare deptt. mai aakar apna paper dekh sakte hai, par maine RTI mai paper apne ghar par mangwaya tha, mujhe chandigarh nahi jana tha. Unhone ne mera steno paper and question paper nahi bheja,
Maine is baat ko seriously nahi liya aur mai bhi chandigarh nahi geya apna paper dekhne ke liye, maine kaha paper toh aya nahi.
2 months baad maine phir se RTI daali ki mujhe mera paper & question paper ghar par bheja jaye, unka 3 din baad phir letter aya ki aap yahan aakar paper dekh sakte hai, unhone ne phir mera paper mere ghar par nahi bhejaa.
3 months beet gaye maine kaha choro agle paper ki tayari karo, par aisa kuch tha jo mujhe yeh sochne par majboor kar raha tha ki mai paper mai fail kyu ho geya, aisi kya galti ho gaye mere se.
Maine RTI ACT ke baare mai aur read kiya ki iske aur kya kya functions hai, kaise mai paper le sakta hoon.
Used First Appeal RTI
Yeh baat shayad kisi ko pata naa ho agar apko RTI Act ke andar sahi jawab naa mil raha ho toh aap higher officer ko first appeal bhi daal sakte hai.
Maine 2.11.2015 RTI Act ke under Section 19 ka andar First Appeal Deptt. par daali. Aur is baar mujhe yakeen tha ki mera paper ghar par aa jayega.
Appeal ki bheji huyi letter ka reply mujhe aya ki aap 17.11.2015 ko Deptt. mai aakar apna paper dekh sakte hai, paper toh mujhe nahi aya, par mai dekhne chala geya.
Mai 17.11.2015 ko chandigarh paper dekhne ke liye nikal geya, 2 ghantey baad mai deptt. pauncha , aur maine unko letter dikhayi.
Unhone ne kaha aap wait kijiye apko officer se milvaya jayega, mujhe 20 minute ke baad officer se milvaya geya, aur unhone ne mujhe kaha , apko kya chahiye.
Maine apne paper ki demand ki mujhe mera Junior Scale Steno ka paper chahiye , maine kaha ki RTI Act ke andar paper ghar par aata hai.
Officer ne mujhe kaha ki apko paper nahi milega par aap paper dekh sakte hai, maine yes kardi paper dekhne ke liye, kyunki mujhe janna tha ki mai kaise fail hua.
Mujhe mere dono paper deekhaye gaye, pehle punjabi ka paper dekha, paper dekhte hai mere hosh udd gaye, usme befaltu ki mistakes nikaal kar mujhe fail kiya hua tha.
Punjabi paper mai meri 58 mistakes nikali gayi thi means mai fail tha, aur english mai meri 6 mistakes, english mai pass tha.
Punjabi mai jo mistake nikali thi woh bilkul hi galat thi, jaise ki.
1. ਵਿੱਚ ( ਵਿਚ) - 5 Times
2. ਵਾਤਾਵਰਣ ( ਵਾਤਾਵਰਨ) - 3 Times
3. ਜਿੱਥੇ ( ਜਿਥੇ) - 5 Times
4. ਉਥੇ ( ਉੱਥੇ)- 10 Times
5. ਅਜ ( ਅੱਜ) - 8 Times
6. ਉੱਮਰ (ਉਮਰ) - 6 Times
According to Bhasah Vibhag and PSSB Instructions yeh mistakes bilkul galat thi, baad mai yeh mistakes ko Bhasha Vibhag ne bhi galat bataya tha.
Yeh mistakes nikal kar Deptt. ne mujhe fail kiya hua tha, aur mai yeh sab dekhkar bahut hairan hua.
Mujhe sab se zyada hairani tab hui jab maine words ko count kiya 500 words ke paragraph ko inhone ne 540 words ka paragraph bola hua tha.
40 words extra bole gaye they , aur ise dekhte huye mai automatic hi pass hota tha.
Maine apna paper dekhkar unko bataya ki apne meri mistakes bilkul galat nikali hai, aur apne paragraph mai 40 words extra bole hai, meri baat ko unhone ansuna, ignore, kar diya aur kehte tujko zyada pata hai etc etc..
Maine unko pir paper ki demand ki mujhe paper chahiye, unhone kaha paper nahi milta jo marzi karle.
Mai wahan se khamoshi se ghar aa geya, aur jab mai bus mai betha tha toh mere hosh udd chuke they ki mujhe bematlab paper mai fail kiya geya hai. Iske baad maine ek aur decision liya.
Used Second Appeal RTI
Par mai yehi nahi ruka maine pir State Information Commission, Chandigarh mai appeal dali.
Appeal daalne se pehle Maine internet par kuch search krke Supreme Court ke order download kar liye, jisme saaf saaf RTI ke under paper provide karne ke liye kaha geya tha.
Aap Second RTI appeal First appeal ke one month baad hi apply kar sakte hai.
State Information Commission mai aap tabhi appeal daal sakte hai agar apko deptt. ne sahi jankari nahi di ya phir apko RTI ke under documents provide nahi karvaye.
Maine 28 December 2015 ko Second Appeal State Information Commission mai daal di.
Takreeban 2 months baad 15 Feb 2016 ko unki letter ayi ki apka Case 31.03.2016 ko fix kia geya hai.
Mai 31.03.2016 ko State Information, Commission Chandigarh geya. Mere mind mai bahut se sawaal chal rahe they ki wahan kya hoga.
Os time Ravinder Singh Nagi, Commissioner they. Meri turn ayi mujhe aur deptt. ke PIO ko andar bulaya geya.
Unhone mujhse bahut pyar se pucha ko beta apko RTI ke under kaya nahi mila. Maine bola ki mujhe paper & question paper provide nahi kiye gaye. Maine Supreme Court ke order bhi Commissioner ko provide kiye.
Commissioner ne phir PIO (Public Information Officer) se poocha ki apne paper provide kyu nahi kiye, PIO ko bahut jhaad padi, ki apne kis section ke under inka paper roka hai.
Officer kuch nahi bol paya, Commissioner ne unko bol diya ki Vikramjit Singh ko jaldi se jaldi paper provide karvaya jaye.
Aur PIO ko upar takreeban 3,000 ka fine bhi lagvaya geya. Apko shayad pata naa ho ki agar information naa mile toh yeh fine PIO ki salary mai se cut hota hai.
Commission ne unko Order kar diya ki aap inhe paper de jaldi se jaldi.
Return Home
Uske baad mai apne ghar aa geya, aur apne paper ki wait karne laga. 2 months ke baad Deptt. ne mujhe mera paper ghar par bhej diya. Mujhe bahut khushi hui ki maine paper nikalva liya hai.
Par deptt ab bhi chalaki maar raha tha, unhone ne meri only answer sheet bheji, question paper bheja hi nahi, kyunki unko pata chal geya tha ki humne galti ki hai aur jaan pooch kar mere ko fail kiya geya hai.
Uske baad maine phir Deptt, ko letter leekha aur phir se Supreme Court ko Order bheje ki isme Answer Sheet and Question Paper dene ki baat leekhi huyi hai, tab jakar unhone ne mujhe sab kuch provide kiya.
Aakhir mujhe poore 1 year ke baad apni Answer Sheet aur Question Paper mila.
Maine araam se beth kar sara paper dekha maine dekha ki yeh sari mistakes hi galat nikali gayi thi, uske baad mai apna paper lekar Bhasha Vibhag, Patiala bhi geya.
Wahan par jitne bhi instructor hai woh mera paper dekhkar kehte ki apko galat tareeke se fail kiya geya hai.
Instructor ne mujhe bola ki aap inke upar case kardo, par meri financial condition theek naa hone ke karan mai case nahi kar sakta tha.
Par mujhe iss baat ki khushi thi ki mai apni nazron mai paper mai pass tha, par duniya ki nazar mai fail tha.
Mujhe is baat ki khushi thi ki maine first attempt mai 100 WPM ki speed se Junior Scale Stenographer ka paper pass kiya.
Par mai yehi nahi ruka, maine phir se Deptt. ko letter leekha ki aapne mujhe galat tareeke se fail kiya hai, par woh meri baat kahan sunne wale they, unke andar mere khilaf gussa bhar chuka tha.
Woh mera face dekhna bhi pasand nahi karte they, ki isne apna paper kaise nikalwa liya etc etc.....
Ek baat toh inhone mujhe Deptt. mai se bahar jane ki koshish bhi ki, par mai khamosh raha.
Mai apko Deptt. ki bheji huyi hui last letter show kar raha hoon, ki kaise Deptt ne mere case ko band kar diya, kyunki woh apni nazron mai hi gir chuke they mujhe bina wajah se fail karke.
Deptt. Last Reply |
Conclusion
Maine poore 1 saal tak haar nahi maani aur end mai paper nikalwa liya, mujhe bahut mushkil aur pareshaani bhi ayi, mujhe chandigarh jane ke liye aur letter bhejne ke liye , apne friends se paise mangne pade they.
Par jab mujhe RTI Act ke under Fine ke paise mile toh maine sab ke paise wapis de diye.
Meri financial condition aachi naa hone ke karan, mai case nahi kar paya , agar mai case kar deta toh mujhe job mil jaani thi, par mai yeh sab bhool kar life mai agey badh geya.
Aur aaj mai Life mai Senior Scale Stenographer Hoon. Meri kismat mai yehi leekha tha.
Yeh baat apko tab nahi pata chalegi, yeh sab kuch apko agey jakar pata lagega, ki apke saath jo bhi hua aacha hi hua.
- Kabhi bhi haar naa maane
- Apne aap par confidence Rakhe
- Practice krna band naa kare
- Life apko bahut kuch seekhaygi
मैं अपनी जिंदगी में बार-बार असफल हुआ हूँ और इसीलिए मैं सफल होता हूँ।
Mai apko bas yehi kehna chatha hoon ki life mai kabhi bhi haar naa maane , aur apni shorthand par focus rakhe.
Sir, you are not only helping us with your steno skill but also inspiring us ...I am grateful to have a teacher like you ..Thnku for sharing your experiences and guiding us...
ReplyDeleteThank You Very Much Dear...........
DeleteSir punjabi spelling doubts kithon clear honge
ReplyDeletebhai kahan singh nabha dictionary purchase karlo, ya phir sanu v facebook messenger te message kar skde ho tuhade doubt clear kar dite jange.....
DeleteInspire story
ReplyDeleteThanks G....
ReplyDeletePost a Comment