Shorthand dictations ek bahut hi important part hai stenographers ke liye, ki kaise steno students ghar mai beth kar practice kar sakte hai.



Maine bhi ghar mai reh kar hi apne phone par recorder on karke shorthand dictation record karta tha, aur bar bar dictation practice karta tha.


Dictation record karne kaa bhi ek method hai jo mai apke saath aaj share karne wala hoon ki kaise aap right method se dictation ko record kare.

Hum rozana alag alag dictations record karte hai jaise 80 wpm, 90 wpm, 100 wpm, 120 wpm etc....

Toh chaliye mai apko details mai guide karta hoon.



Shorthand exams mai mostly exam 80wpm ki speed se liya jata hai toh hame 90 ki speed se ise record karna chahiye uska benefit yeh hai ki hame exam mai speed kam lagegi.

Kyunki hamari practice zyada speed par hui hogi.

Par mai apko 80 speed record dictation karni bhi guide karunga.

Dictation record karte waqt hamesha mobile ko apne face se door rakhe, yeh nahi ki bilkul muh ke agey mobile pakad kar record karna shuru kar diya.

Dictation hamesha ek hi layer awaaz mai record karni chahiye, yeh nahi ki kabhi speed fast kardi kabhi slow kardi, aisa karne se aap hi ka nuksaan hai.




80 wpm speed dictation record

80 wpm ki speed dictation 20 X 4 se banti hai means 80 wpm ki dictation mai 400 words hote hai.



Aap niche chart ↓mai dekh sakte hai maine 20 words ke piche ek line lagai hai aur yeh apko 4 baar lagani hai tab jake apke 80 words banaege.

Aur apko dictation record karte waqt 15 seconds mai 20 words cover karne hai. 

Aap jab bhi aagey se 80 wpm ki dictation record kare toh bilkul aisa hi kare.






90 wpm speed record- Means 88 WPM According to Method

90 wpm ki speed dictation 22 X 4 se banti hai means 90 wpm ki dictation mai 450 words hote hai.





Aap niche chart mai dekh sakte hai maine 22 words ke piche ek line lagai hai aur yeh apko 4 baar lagani hai tab jake apke 88 words banaege.

Aur apko dictation record karte waqt 15 seconds mai 22 words cover karne hai, aur 1 minute mai total 88 words.

Aap jab bhi aagey se 90 wpm ki dictation record kare toh bilkul aisa hi kare.






100 wpm speed dictation record

100 wpm ki speed dictation 25 X 4 se banti hai means 100 wpm ki dictation mai 500 words hote hai.


Aap niche chart mai dekh sakte hai maine 25 words ke piche ek line lagai hai aur yeh apko 4 baar lagani hai tab jake apke 500 words banaege.


Aur apko dictation record karte waqt 15 seconds mai 25 words cover karne hai, aur 1 minute mai total 100 words.

Aap jab bhi aagey se 100 wpm ki dictation record kare toh bilkul aisa hi kare.




120 wpm speed dictation record

120 wpm ki speed dictation 30 X 4 se banti hai means 120 wpm ki dictation mai 600 words hote hai.


Aap niche chart mai dekh sakte hai maine 30 words ke piche ek line lagai hai aur yeh apko 4 baar lagani hai tab jake apke 600 words banaege.

Aur apko dictation record karte waqt 15 seconds mai 30 words cover karne hai, aur 1 minute mai total 120 words.

Aap jab bhi aagey se 120 wpm ki dictation record kare toh bilkul aisa hi kare.




Agar apko aur speed gain karni hai toh aap isi tarah mark karke 140 wpm ki speed par dictation le sakte hai.

Maine apko explain mai method guide kar diya hai, I hope apko ab pata lag geya hoga ki exams mai kaise dictation boli jati hai.

Dictation Record Software


Sony Recorder for Dictations.

Upar toh maine apko yeh bata diya hai ki kaise dictation record karni hai, ab mai apko dictation software ke baare mai guide karunga.


Google Play App par bahut se recorder available hai par apko only Sony Recorder hi download karna hai, yeh sabse best recorder hai Dictation record karne ke liye.


  • Isme sound bilkul clear record hota hai.
  • Record karte waqt phone aa jaye automatic pause ho jata hai.
  • Iska size 1 mb banta hai only


Bas apko daily isi tarah speed par practice karni hai, only 5 minutes mai dictation record karle , phir type karle aur phir check karle.

Bas apko itni mehnat karni hai, aur kuch nahi hai shorthand mai aise hi roz practice karte jaye, ek din apko manzil mil jayegi.




Niche comment karke aap shorthand related koi bhi information le sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post