Punjabi shorthand mai bahut se students ki confusion rehti hai, shorthand ek aisa subject jisme galti rok pana apke hand aur mind par hota hai.





Agar apke symbols poore accurate hai toh aap kabhi bhi shorthand mai mistake nahi karenge.

Yeh article leekhne ka mera maksad hai ki mere se 4 din pehle ek student ne question put kiya tha.




X: Sir aap Daily Ajit outlines mai words ke end mai (-) ka use kyu karte hai hamesha.

2nd Question: Sir aap ਹਨ words ke piche bhi bahut baar (-) ka use karte hai aisa kyu?

Me: Maine iska answer bahut hi details mai apko niche diya hai jisse dekh kar apki confusion door ho jayegi.


1st Question Answer




Ek word se zyada words banane ke liye dash(-) ka use kiya jata hai only Sardar Rajinder Singh ke according, jinko yeh nahi pata unke liye maine niche chart show kiya hai.




Maine Rajinder Singh aur Kartar Singh ki dono shorthand ko seekha huya hai aur mai daily Ajit outlines mai takreeban (-) ko use karta hoon.

Kyunki yeh mujhe paani bahut easy lagti hai , Agar aap Kartar Singh ki shorthand kar rahe hai toh aap hamesha bindi (.) hi use kare.

Agar aap (.) use karne mai pareshaani ati hai toh aap (-) use kar sakte hai. 


2. ਹਨ

2nd Question Answer

Second Question mere se put kiya geya tha ki aap , ਹਨ ਦੀ ਵਰਤੋਂ ਕਰਨ ਲਈ ਵੀ ਡੈਸ਼ ਦੀ ਵਰਤੋਂ ਕਿਉਂ ਕਰਦੇ ਹੋ, iska answer bhi dena chahta hoon.


Mujhe pata hai ki yeh bahut se student ki confusion door karegi ki mai aisa kyu karta hoon. 

Niche Chart mai apko describe kiya geya hai, ਹਨ words ko aap saath mai bhi use kar sakte hai , aisa karne se apko speed mai leekhne mai problem nahi ayegi.





Iske saath apko yeh benefit hoga apko ਹਨ alag pane ki zarurat nahi hai, apka word ਬਹੁਵਚਨ bhi ban geya aur saath mai  (ਹਨ) bhi use ho geya.

Isiliye mai Daily Ajit Outlines mai aisi outlines ka use karta rehta hoon jisse apka time save ho, aur apki shorthand mai speed increase ho.



Niche comment section mai apko punjabi shorthand mai koi bhi problem aati hai toh aap freely e-mail kar sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post