Punjabi shorthand ko bane huye poora ek saal ho chuka hai, shayad yeh website par daily aane wale users ko naa pata ho ki Punjabishorthand.com pichle saal august 2018 mai shuru huyi thi.



Punjabi shorthand website shuru karne ka kya maksad tha aur yeh idea mere mind mai kaise aya aur maine is par kitna work kiya , yeh website maine kaise banayi etc... 



Punjabi Shorthand Motive


Punjabi shorthand ka main maksad students ki help karna hai, daily dictations and outlines provide karna.

Students ko daily words mai problem aati hai yeh outline kaise pani hai , dictations kahan se le, kaise tyari kare, inn sab ko dekhte huye shorthand website banane ke maksad tha mera.


Students ko motivate rakhna shorthand ke prati taki woh shorthand mai success hasil kar sake.

Coaching Center apke liye 24 ghante khule nahi hai par website apki help ke liye 24 ghante khuli hai.


Punjabi Shorthand Idea


Punjabi shorthand website ka idea mere mind mai pehle se hi tha jab mai shorthand karta tha, aur saath mai hi 10 to 6 private job karta tha.

Isse shuru karna ka ek aur maksad tha ki, jo shorthand ko kar leta hai woh kisi dusre ko iske baare mai knowledge nahi deta...


Mai shorthand coaching center aur apne bahut se stenographer friends ko shorthand words mai aane wali pareshani ko dekhta tha, ki unko roz koi na koi words mai problem aa rahi hai.

Maine yeh bhi dekha ki bahut se students ko apne city mai shorthand ki dictations aur words batane wala koi nahi hai, jo unko ek sahi direction de sake.

Aur bahut se students ke pass fees dene ko bhi paise nahi hote jo kisi na kisi pareshaani ke karan coaching nahi le pate they.

Yeh sab kuch dekhte huye maine 31th August, 2018 ko decide kar liya ki mai Punjabi shorthand ke upar website banauga.



Website Design and Buy Domain Name


Maine jahan par job karta tha private maine wahi se website ka kaam sikha  tha yeh kaise banate hai aur yeh kaise work karti hai.

Mujhe HTML Coding ke bare mai knowledge thi aur wohi knowledge aaj mere kaam aa rahi hai.

Maine sabse pehle 31 August 2018, ko domain register kiya www.punjabishorthand.com

uske baad mujhe ab decide karna tha ki maine website kaise design karni hai, mujhe kuch samaj nahi aa raha tha.

Ki website simple design karu ya koi professional, maine website ko bilkul simple design kiya jo har kisi ki samaj mai aa jaye.


Maine is par bahut hard work kiya mai din raat isme lag geya, maine decide kiya ki mujhe kon kon topics par work karna hai aur pehle maine shorthand se related topics add kiye website mai.



Jaise jaise topic add karta geya waise hi mere mind mai idea aate gaye ki is topic par yeh article aur yahan dictations aur outlines pani hai...


Work on English Shorthand Words


Website domain register karne aur design karne ke baad ab mujhe yeh samaj nahi aa rahi thi ki mai kahan se shuru karu.

Sabse pehle maine English Shorthand Words ke upar work karna shuru kiya, maine ek ek karke English Shorthand Alphabets ke upar kaam karna shuru kar diya.

A to Z tak English Alphabets paane ke liye mujko 5 months lag gaye. Maine sabhi alphabets pehle search kiye jo important words hai exam mai aane ke liye.


Maine ek (A) alphabet complete karne ke liye 10 hours lagaye pehle search kiya , phir leekha aur phir outlines payi.

Aisa hi maine har alphabet par kaam kiya, mai jab bhi free hota website par kaam karta rehta, meri neend chali gayi thi aur mai is par hi work karta rehta tha.

Mai daily website par 10-12 hours kaam karne laga, project bahut bada tha aur time bahut kam.

Maine hamesha Life se ek baat seekhi hai ki apke pass time bahut kam hai, agar kuch karna hai toh abhi karna hai.



Work on Daily Dictation and Ajit Words


Jab mai shorthand words ko website par design karke upload kar raha tha tabhi mere mind mai Idea aya ki mai daily website par Ajit Dictation upload karu jisse students ki aur help ho sake.

Words ke saath saath mai Daily website par morning time job se jane se pehle Ajit Dictation upload karne laga, aise karne se bahut se students ka response positive milne laga, aur website din prati din success hone lagi.

Daily dictation ke saath saath maine, daily ajit words ki outlines bhi upload karni shuru kardi. Mai jaise jaise daily outlines ko pata geya website par aise hi daily users increase hone shuru ho gaye.

Youtube channels ke users ab daily website par aakar dictation karte hai aur roz hi bahut se students ki e-mail through problems solve ki jati hai. 

Kyunki youtube par daily dictations aur outlines koi bhi channel upload nahi karta.......



Work on Punjabi Shorthand Words


Maine Pehle english shorthand words complete kiye aur ab turn thi Punjabi shorthand words ko paane ki. 

Maine punjabi alphabets ke upar work karna shuru kar diya , mujhe bahut pareshaani aa rahi thi ki kon kon se words website par upload karu jo students ke liye helpful ho.


Maine words search karne shuru kar diye, jab bhi mujhe free time milta mai isi kaam mai laga rehta aur sunday sara din mai website par kaam karne laga.

Jitna mujhe ho saka maine words ko search kar ke website par upload karna shuru kar diya tha.

Pehle words search karta, phir type karta, phir outlines leekhta uske baad design karta aur end mai website par upload karta.

Aise karne mai mujhe takreeban 8 ghante lag jate they


Work on Articles 

Mujhe leekhna pasand hai isiliye maine website par shorthand se related bahut se articles bhi leekhe, jiske baare mai mujhe poori knowledge thi.

Apne articles se mai students ko motivate kar paya, aur unka bahut hi aacha response mila mujhe.

Articles leekhne ka main maksad shorthand ki knowledge provide karni thi , ki kahin students demotivate hokar shorthand ki line change naa kar le, ye phir isse chor naa de.

Maine woh sab kuch explain kiya jo stenographer ke liye zaruri hota hai.

Yahan tak ki Maine apne friend Sarbjeet Singh ki Story bhi share ki, jisse aap log motivate reh sako.



How to Find Student Punjabi Shorthand Website


Yeh baat apko share karte huy mujhe bahut khushi ho rahi hai ki kaise student ne website ko search kiya.

Student ne details mai mujhe bataya ki jab se apki website mili hai meri shorthand bahut improve huyi hai aur words ki problem bhi khatam ho gayi hai.

Maine Niche apko message provide kiya hai jisme aap dekh sakte hai ki kaise usne website ko search kiya Google search engine mai.



How to Find Student Punjabi Shorthand Website

Yeh sab dekh kar mujhe kitni khushi hui mai apko explain naa kar pau, kyunki yeh abhi shuruwat hai bas.



Punjabi Shorthand Contributors

Website par jinhone ne mere saath kam kiya hai mere friends ne usme mera bahut saath diya hai, agar mai unka naam naa lu toh yeh mere layi bahut hi sharam ki baat hogi.


Unki wajah se hi yeh website ban payi hai jinhone ne mujhe encourage aur motivate kiya yeh sab karne ke liye.


  • Pawan Sharma
  • Sarabjeet Singh
  • Amandeep Kaur
  • Anuwant Pal Singh


Daily Website Users

Jab maine website shuru ki thi tab bahut hi kam users website par aate they. Par mai apne kaam par focus karta geya mujhe apni mehnat par vishwas tha ki yeh website poore punjab and India mai bahut chalegi.

Time to Time website jab popular hone lagi users bhi increase hone shuru ho gaye daily poore Punjab mai se 1500 users aur poore India mai se 3000 users aate hai.

Daily users day by day increase ho rahe hai, aur daily users 30 to 45 minutes website par time spent karte hai.


Aisi bahut si baatien hai jo apko share karni reh gayi hai, jab mere mind mai hogi isi article mai update kar di jayegi abhi ki liye bas itna hi.


ਮੇਰਾ ਮੁਝ ਮਹਿ ਕਿਛੁ ਨਹੀ ਜੋ ਕਿਛੁ ਹੈ ਸੋ ਤੇਰਾ
ਤੇਰਾ ਤੁਝ ਕਉ ਸਉਪਤੇ ਕਿਆ ਲਾਗੈ ਮੇਰਾ।

Thank You Waheguru

8 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post