Difference Between Stenographer and Clerk, doston aaj mai iske bare mai aap logon ko details mai explain karna chahta hoon ki isme kya difference hai.







Kehne ko toh clerk and steno typing subject lagte hai par isme kitna difference hai aur department mai jakar hame iske bare mai pata lagta hai ki steno aur clerk kisko kehte hai.


90% students ka yeh myth hai ki clerk and steno mai koi farak nahi, yeh unka kehna hai jo abhi job nahi lage, ya phir apni taraf se students ko gumrah karne ki koshish karte hai.

Mai yeh article isliye leekhe raha hoon taki mai apko guide kar saku ki dono mai kya difference hai. 



Clerk Duties and Responsibilities



1. Clerk

Clerk ban pana bhi aaj kal Punjab Govt. and Court mai koi aasan nahi hai isme written test and dono typing test pass karne hote hai. 


Lakho hi application aati hai Punjab Govt. aur Court mai clerk banne ke liye par usme se only mehnati students hi clerk ban pate hai. 


Jab koi student clerk ban jata hai aur ab ose Department mai kaam karna hota hai , Sabse pehli baat clerk kabhi bhi kisi officer ke under nahi hota jaise steno hota hai.


Clerk section ka record maintain karta hai, Govt. files ka sara record ek clerk ko maintain karna padta hai ki kon si file kahan padi hai. 



Jitni bhi Miscellaneous letters, section mai aur jo bhi kaam hota hai woh sabhi clerk hi karta hai, 


Routine ka sabhi kaam karna, memo banana, noting karna, typing documents and filing record karna etc.... yeh sabhi kaam clerk ko karna padta hai.


Court mai toh clerk job mai aur bhi pressure hai cases ka record maintain karna, photostate karna, apne sign karke documents rakhne.. Cause list ready karna, Cases ki date fix karna yeh sabhi kaam clerk ko hi karna padta hai.

Court mai clerk ka kitna kaam hai yeh apko court mai kaam karke khud hi pata lag jayega.


Clerk Promotions 
  • LDC Clerk- Lower Division Clerk
  • UDC- Upper Division Clerk
  • Senior Assistant- By Departmental Promotion
  • Superintendent - According to Departmental Promotion



Stenographer Duties and Responsibilities

2. Stenographer


Steno ki baat karu toh bahut hi peaceful job hai, Agar aap Punjab Govt. mai stenographer lagte hai toh aap sidha Officer ka saath attach honge.

Officer jo bhi apko letter type karvayega woh apko type karni hai aur bas chote mote kaam routine ke.

Officer ko chuti banani, phone karna kisi dusre section mai, Noting banani aur kayi baar letters banane.



Yeh sabhi kaam officer khud steno ko leekhwata hai ki aap is tarah type kare, 

Steno par record maintain rakhne ki aur files maintain karne ki koi zimewaari nahi hoti, bas jo officers letters type karne ko kehta hai bas wohi karna hota hai.


Court mai Judge ke saath steno kaam karta hai, jo bhi cases mai arguments hoti hai woh steno note karta hai , aur baad mai interim order banakar ose  website par upload karta hai.

Punjab Govt. mai steno ke upar koi pressure nahi hai bahut hi peaceful job hai steno ki departments mai.

Steno Promotions
  • Steno-Typist
  • Junior Scale Stenographer
  • Senior Scale Stenographer
  • Personal Assistant
  • Personal Secretary
  • Secretary/ Under Secretary

Jab aap Personal Assistant ya Personal Secretary ban jate hai apka kaam aur bhi kam ho jata hai typing ka. Bas phir aap ko officer ke chote mote kaam hi karne hote hai.



I hope apko pata chal geya hoga ki steno and clerk mai kitna difference hai, yeh apko tab pata chalta hai jab aap kisi department mai lagte hai.

2 Comments

  1. Sir,PA ka work profile,salary aur promotion k baare mai kuch bta skte h app

    ReplyDelete
  2. Pa ke work Mai Shorthand Kam ho jati hai, mostly officer ke personal kaam, like ticket books, meetings fix, Phone number data provide krna, or some miscellaneous work hota hai bas

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post