English Shorthand & Punjabi Shorthand ke exam mai aksar hum dekhte hai ki alag alag time dete hai type karne ke liye, woh kitna time dete hai iske bare mai aaj mai apse discuss karne laga hoon.




Sabse pehli baat apko yeh clear kardu ki shorthand test only 5 minutes ka hota hai, aur usko transcribe karne ke liye  Punjab Govt Dept. aur High Court kya time deta hai woh mai apko details mai batata hoon.


Punjab Govt. Department Timing in Punjabi Shorthand Exams





PSSSB- Punjab Subordinate Service Selection Board apna test Mohli ke Ambedkar Institute mai leta hai woh pichle kafi saal se shorthand test isi jagah par le raha hai iska reason yeh hai ki typing machine par test lena hota hai.

Kyunki jo bhi jahan bache padte hai unko Typing Machine par hi trained kiya jata hai test ke liye.



PSSSB Exams

80 wpm test Timing 8% Mistake Permissible


PSSSB 5 minutes ka shorthand test leta hai only Typing Machine par aur isko transcribe karne ke liye apko 27 minutes diye jate hai, 80 wpm speed test mai apko total 400 words bole jate hai will full stop. 

Yeh 400 words pehle 2.30 minute mai aur phir 2.30 minute mai bole jate hai means ki pehle apko 200 word bole jayenge aur phir apko 1 minute ka diye jayenge apni shorthand read karne ko.



Full stop means ki apko Dandi milakar words bole jate hai, iska matlba yeh hai ki automatic words 390 something reh jate hai, apko 27 minutes mai yeh 400 words page par type karne hote hai jo aap easily kar sakte hai. 


Isme apko 8% mistake maaf hoti hai means 400 mai se 32 mistakes apko maaf hai. 

100 wpm test Timing for Junior Scale and Senior Scale 


PSSSB 100 wpm ki shorthand speed test 500 words ka paragraph bolta hai, isme bhi same apko 5 minutes ka paragraph hota hai.

500 words ke paragraph mai se apko 250 words pehle 2.30 minute mai aur phir 2.30 minute mai bole jate aur phir apko 1 minute ka diye jayenge apni shorthand read karne ko.

Uske baad apko apni likhi hoyi shorthand ko Machine par type karna hai 25 minutes mai. Yeh post steno-typist se badi hai toh apko isi liye 25 minutes diye jayenge. 

Junior Scale Stenographer mai apko 8% mistake maaf hoti hai means 500 mai se 40 mistakes apko maaf hai. 


Senior Scale Stenographer mai apko 4% mistake maaf hoti hai means 500 mai se 20 mistakes apko maaf hai. 


130 wpm test Timing in Vidhan Sabha - Reporter Exam


Shorthand Reporter ka exam only Punjab Vidhan Sabha mai liya jata hai yeh test 130 to 140 wpm ki speed ke beech bola jata hai according to advertisement. 

Advertisement mai bataya jata hai ki hum kitne speed se dictation bolenge.


130 wpm ki speed se total 650 words bante hai jo apko continuously bole jayenge, is baat ka dhyan rakhe ki isme koi break nahi hoti, yeh words lagatar bole jayenge apko.


Ise type karne ke liye apko 35 minutes ka time diya jayega aur yeh exam only computer par hoga, iske liye aap Joy , Asses and Ravi font use kar sakte hai. 


Reporter exam mai apko 5% mistake maaf hoti hai means 650 mai se 35 mistakes apko maaf hai. 


Thapar University Shorthand Exams


Thapar Univ Shorthand Test Only computer par leta hai according to advertisement. Agar Kisi Department ne Thapar Univ ko direction di hai test Asses font par lena hai toh test Assess Font par hoga. Thapar Punjab Govt ke rules follow karta hai according to advertisement.

Agar direction mili hai ki test Ravi Font par hoga toh Thapar Univ Shorthand test Raavi font par hi legi. 

Thapar Univ ne shorthand test ke liye ek special software banaya huya hai jab aap test start karoge toh automatic time chalna start ho jayega, jab ek baar time chalna start ho geya toh aap phir kuch nahi kar sakte. 

Thapar University mai Special Stenography Instructor se dictation bulwayi jati hai jo accurate speed par dictation bolte hai, kyunki yeh mera khud ka experience hai tabhi mai aap logon ko bata raha hoon.


High Court Timing in English Shorthand Exams




80 wpm test Timing 8% Mistake Permissible


High Court 5 minutes ka shorthand test leta hai only computer par aur isko transcribe karne ke liye apko 20 minutes diye jate hai, 80 wpm speed test mai apko total 400 words bole jate hai without full stop. 



Yeh 400 words continuously bole jayenge 5 minutes mai, Punjab Govt ki tarah apko isme koi break nahi milti. Aap only computer par type karte huye hi apni shorthand read kar sakte hai.

Yeh test High Court ke dwara banaye gaye Software mai liya jata hai, jab aap test shuru karenge toh software mai time chalna start ho jata hai aur phir aap kuch nahi kar sakte.


Full stop without bolte means yeh paragraph mai full stop ko kuch nahi mante jisse 400 words automatically 410 ya 415 words tak paunch jata hai, means speed automatically 85 tak paunch jayegi.


Isliye Court Exam ke liye aap kam se kam apni speed 100 wpm ki banakar jaye tabhi aap easily 80 wpm ki speed cover kar payenge.

Isme apko 8% mistake maaf hoti hai means 400 mai se 32 mistakes apko maaf hai. 



120 wpm test Timing 5% Mistake Permissible


High Court Exam mai Judgment Writer ka test 120 wpm ki speed se liya jata hai.

Isme continuously 10 minutes mai 1200 words ka paragraph bola jata hai, isme koi break nahi hota apko lagatar 10 minutes likhna hai.

Isko type karne ke liye apko 50 minutes diye jayenge aur 5% mistake apko maaf hongi.

Judgment Writer ka paper pass karne ke liye apko minimum 135 wpm ki speed chahiye hogi.




Agar apko kisi bhi tarah ki problem aati hai toh aap freely niche comment kar sakte hai.

9 Comments

  1. Sir psssb steno typist da test raavi ch hona ja asses ch computer te hona ja machine te.

    ReplyDelete
  2. machine te hunda psssb vich test. only pssssb vich

    ReplyDelete
  3. mere walo ta confirmed hai PSSSB ne pichle 10 saal vich kadi v test computer te nahi leya te uthe machines te hi tyari karai jandi hai bacheya nu, so machine te hi test hunda. baki depend on advertisment.

    ReplyDelete
  4. Sir Punjab vidhan Sabha English shorthand dictation v upload krdo 100+ speed

    ReplyDelete
    Replies
    1. Daily English Tribune upload ho rahi hai with outlines......... in future isde related dictations upload hongian...

      Delete
    2. Rajinder Singh 100 wpm English book dictations v upload ne oh v practice kar sakde ho..

      Delete
  5. sir punjab and haryana high court ke steno exam mai agr stop, comma nhi bola jaata to apni sense ke according ke type krna hota hai kya?

    ReplyDelete
    Replies
    1. No dear, jab tak woh kuch naa bole apne apni taraf se kuch bhi extra nahi lagana.....

      Delete

Post a Comment

Previous Post Next Post