The World Best Record Learning Shorthand aaj mai apko aise world record baare mai batane jaa raha hoon jiske bare mai apne kabhi nahi suna hoga.

The-World-best-Record-Learning-Shorthand


Jab maine iske bare mai read kiya tha toh mai bhi hairan reh geya tha ki kaise koi itni jaldi aisa kar sakta hai.

Inhone ne woh kar dikhaya hai jo koi nahi kar sakta itni jaldi aur itni fast kisi bhi stenographer ke liye bahut difficult hoga.

Yeh record 'Miss Ruby Slaton' and 'Miss Hazel Minor' ne banaya hai jiske bare mai apko batana jaa raha hoon.


Miss Ruby Slaton and Miss Hazel yeh dono America ki rehne wali thi aur yeh dono ne Pitman Shorthand exam se 3 months pehle hi sikhi thi



First Attempt

3 Months Pitman shorthand seekhne ke baad inke final exam they jaise hamare Bhasha Vibhag mai liya jata hai shorthand test.

Hamare yahan toh type karke dikhate hai par foreign country mai apko shorthand pad kar sunani padti hai teacher ko aur yehi nahi apko ek dusre ke transcription notes read karne ko bhi kaha jata hai.

Woh yeh check karte hai kya aap kisi aur ke shorthand notes read karne ke capability rakhte hai yaa nahi.

March 24, 1908 mai inn dono ka test 100 wpm ki speed se liya geya aur in dono ne test likh liya. Ruby and Hazel ne easily apne shorthand pad kar suna di.



Phir uske baad Teacher ne inn dono ke shorthand transcription notes exchange kar diye.


Ruby and Hazel ne bina kisi error se ek dusre ki likhi huye shorthand notes fast speed se padkar suna diye jise dekh kar teacher and staff members hairan reh gaye.

Unhe yakeen nahi ho raha tha ki aise kaise ho sakta hai ki kaise koi ek dusre ke shorthand notes ko itni speed se read kar sakta hai bina mistake kiye.

Second Attempt


Ek baar phir inn dono ka test liya geya kyunki unhe vishwas nahi ho raha tha.

Pehle Inn dono ko ik hi room mai bithaya geya tha test ke liye teachers ko yeh laga ki inko shorthand paragraph yaad ho geya hona tabhi inhone ne read kar liya.

Par ab inn dono ko alag alag room mai bithaya geya test ke liye. Phir se test liya geya 100 wpm ki speed se iss baar alag dictation boli gayi.

Ruby and Hazel ke likye huye shorthand notes ko phir se exchange kiya geya aur iss bar same waise hi huya dono ne ek dusre ke shorthand notes ko read kar diya bina kisi error se. Ek bhi mistake nahi ki shorthand padne mai.

Inn dono ki mehnat aur hosle ko dekhte huye inhe World Best Learning Shorthand Award  diya geya.


Niche apko Passage show kiya geya hai jo Miss Slaton ko bola geya tha.



Yeh Second passage Miss Hazel ko bola geya.





Conclusion



Apko bhi hairani zarur huyi hogi yeh story read kar ke ki kaise koi bina mistake kiye woh kisi aur ke shorthand notes ko transcribe kar sakta hai.

Only 3 months mai inhone Pitman shorthand cover karke aisa kar dikhaya tha.

Doston agar dil mai kuch kar guzarne ka junoon ho toh kuch bhi namumkin nahi hai aap bas shorthand ki practice smart way mai karte jaye.




Aap niche comment karke zarur bataye ki apko yeh story kaise lagi aur apne steno friends ko bhi share kare.

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post