Punjabi Shorthand website ko run karte huye poore 2 saal ho chuke hai (2018-2020). August 2018 ko yeh website internet par shuru ki gayi thi. Website ka main maksad shorthand students ko sahi guidance deni aur help karna hai.






Dekhte hi dekhte itne itne kam time mai yeh itni success ho jayegi mujhe yakeen nahi tha, bas mai is par continue hard work karta raha aur mujhe day by day result milta raha.


Maine apni 1st year Success story mai pehle hi bataya hai ki kaise mujhe yeh idea aya aur kaise maine website ko develop kiya, aur mujhe iske liya kya kuch karna pada.

Pichle saal ke according 2019-20  beech maine website par hard work double kar diya hai.

Maine woh har topic cover karne ki koshish ki jisko students ka interest hai aur maine ise poora karne mai help ki.


Mai apko points wise explain karta hoon ki ( 2019 August ) to (2020 August) beech maine kon kon sa work kiya website ke upar.





Starting Punjabi Tribune Dictations




Punjabi tribune shorthand dictations paragraphs PSSSB steno exam and punjab govt. ke other departmental exams mai yeh paragraphs bole jate hai. 

Students ki e-mail request and comments ko dekhte huye maine time nikaal kar daily punjabi tribune dictations  shuru ki, jo daily hi website par upload hoti hai aur poore punjab mai se takreeban 1500 students punjabi tribune dictation karne ke liye aate hai. 

Day by day iske views increase ho rahe hai aur students ki demand hi ki in future 100 wpm punjabi tribune bhi shuru ki jaye.




Starting Punjabi Tribune Shorthand Outlines




Dictations toh mai shuru kar chuka tha aur ab meri soch thi ki mai daily outlines bhi provide karu, kyunki iske language words ajit paragraphs se different hote hai. Par maine time nikaal kar yeh bhi shuru kiye.

Mere mind mai jab bhi koi idea aata hai mai usi time ise implement kar deta hoon, mai yeh nahi dekhta ki kal karenga, ya apne mann mai bahana banana etc........

Ise bhi students ki taraf se bahut hi aacha response mila, aur daily is par takreeban 1100 views aate hai.



Starting English  Tribune Dictations


Punjabi Tribune ke saath saath mai English steno students ke liye maine english tribune bhi shuru kardi, kyunki jisne english tribune karli use magazine karne ki zarurat nahi hai, saare magazine words tribune mai hi cover ho jaate hai.

Aur magazines bhi newspapers mai se hi banayi jati hai. Daily english tribune karne ke liye poore India mai se takreeban 4000 steno students aate hai. 


Iski performance day by day increase ho rahi hai America, Uk, France, Germany jaise countries mai bhi ise aacha response mila hai.



Cover Shorthand Books


Apko pata hi hai ki corona ne poori duniya ka kya haal kiya hai, usse bura haal unka hua jo apne mann par kaboo nahi rakh sake.

Par maine corona ke dino mai holidays ka poora fayda uthaya. Maine plan kiya ki jitne din bhi lockdown rahega usse pehle pehle mai takreeban punjabi and english shorthand books ko cover karlu, taki students ko poori help ho sake.

Lockdown time maine yeh books cover ki aur time ka poora benefit uthaya











Mai din raat dictations recording karne mai laga rehta tha, mai swere 4 baje uth kar bhi recording karna shuru kar deta tha.

Mujhe yeh thaa ki mere pass time bahut kam hai jo bhi kaam karna hai bas aaj hi karna hai, kal kisne dekha hai....

Isliye maine bahut hi jaldi sari books ko cover kar liya aur kuch hi time mai students ne ise bahut pasand bhi kiya.


Students ki demand ab aur book ko cover karne ki hai, woh bhi jaldi hi website par upload kr di jayegi.



English Shorthand Court Magazines





Mai jab apne time par shorthand krta tha magazines, books, newspapers mai se practice kiya karta tha, par mujhe yeh nahi pata tha ki mai kabhi khud ki magazines bhi shuru karunga.

Maine is par din raat mehnat karke apni leekhi huyi magazines ko shuru kiya aur bahut hi aacha response mila.


March 2020 ko maine English shorthand court magazines shuru ki.  Maine takreeban 55 magazines India ke alag alag states mai sell kiye.

Maine yeh magazines punjabi ki alag alag cities aur haryana mai bhi sell kiye hai.

In future is par aur work kiya jayega taki aur behtar tareeke se magazine banayi jaa sake.




 Redesign Punjabi Shorthand Website




Mera pehle soch thi ki mai website redesign naa karu, par maine user interest ko dekhte huye phir se website deisgn kar di taki students ko aachi tarah se website ke baare mai knowledge ho aur woh easily koi bhi topic choose kar sake.

Website ko redesign karne mai mujhe takreeban 4 ghante lag gaye. Maine yeh sara kaam raat 10 baje se lake subah ke 1 baje tak kiya, taki morning jab students aaye toh unke koi pareshaani naa ho.

Mujhe pir se all topics ki setting karni padi, ek ek topics ko point wise add karna pada aur sahi navigation deni padi.

Website ko run karna ek bahut zimewari wala kaam hota hai iski coding, plugins ko dhyan mai rakhna hota hai, agar kuch bhi problem hui toh website mai dikkat aa sakti hai.


Aane wale time mai punjabi shorthand ek bahut bade platform par design ki jayegi jisme aur bahut se topics ko cover kiya jayega.


In future punjabi shorthand platform ko bahut bade level par start kiya jayega yeh toh abhi bas shurutwat hai.

Iske baare mai kya kuch karna hai pehle hi sab kuch design ho chuka hai.



Starting Ajit Paragraphs 100 WPM



200 se zyada students ki e-mail request ayi ki aap Ajit dictation ke saath other ajit newspaper paragraph ki dictations bhi daale. Maine request accept karte huye daily Ajit 100 wpm dictations May 2020 mai article shuru kiya.


Yeh article shuru karte hi users ki growth double ho gayi dekhte hi dekhte daily ke 1300 students aur aane lag gaye. Aur unka bahut hi aacha response mila.


Daily meri yehi koshish rehti hai ki mai new new paragraph apko provide karta rahoon. Taki apko exam mai kisi bhi tarah ki problem naa ho words ko lekar.



Recover English Shorthand Words 
A to Z



Maine ek baar phir English shorthand words ko recover karne ki koshish ki, taki students ko aur new words provide kar saku.

Jaise jaise all over India mai se students ki words searching google aur website par hoti rehti hai aur mujhe pata lagta rehta hai ki kon se words website par update nahi hai.

Isko dekhte huye during lockdown maine ise bhi dubara se cover karne ki koshish ki. 

Students ko website par english steno related zyada se zyada words mil sake. Waise toh shorthand outlines ka koi end nahi hai.

Website par daily 500 se lekar 1000 tak words searching hoti rehti hai shorthand related.

Par phir bhi steno outlines daily update karta rehta hoon taki koi bhi student website se khali haath naa jaye.



Starting English Shorthand Phraseography



2019-2020 ke beech mujhe jitne bhi English Shorthand Phraseography words mile woh maine poori karne ki koshish ki.

Mai total no of shorthand words searching karne mai laga rehta, mera motive yeh hota hai ki mai zyada se zyada words ko simple way mai describe karu.


 Shorthand Phraseography ek bahut hi important part hai steno mai. Aur mujhe laga ki ise poora karna chahiye A se  lekar Z tak.

Mujhe yakeen nahi ho raha tha jab poor India mai se takreeban 17,000 students ne ise view kiya. 

All over India mai se ise bahut hi pasand kiya geya.  





Starting Court Legal Outlines
A to Z


June 2020 month hi maine Court Legal Outlines A se lekar Z tak poore karne ka plan kiya hai. 

English  stenographer court exam ke liye court words kitne important hai yeh ek court stenographer hi samaj sakta hai.

Waise toh pehle maine ek hi article mai court words provide kiye huye hai. Par mujhe laga ise bhi A to Z tak complete kiya jaye.

Maine phir iske upar din raat searching shuru kardi. Mujhe internet aur books mai se jo bhi word milta mai leekh leta aur phir design karta.

Maine words ke saath saath iske meaning bhi saath mai dena shuru kiye taki students ko iski aur jankari ho.

Aise karta karte court legal words bhi kuch months tak complete ho jayenge aur students ki bahut help hogi.



Starting Punjabi Shorthand Phraseography






Punjabi Shorthand Phraseography ek most important topic hai stenography mai. Daily students ko isse bahut help mil rahi hai. 

Ajit outlines and punjabi tribune outlines par work karte karte hi mujhe yeh idea aya tha ki main daily punjabi phraseography ke upar bhi work karu.

Mai jaise jaise is par work karta jaa raha hoon mere mind mai new new idea aate rehte hai ki mai shorthand field mai kaise students ke liye kuch na kuch new lekar aa sakta hoon.

Daily mujhe new new words search karke phrasegraphy join karne mai bahut maza aata hai aur ise mai ek fun type leta hoon.




Website stop working for 2 Hours



10 May 2020 ko takreeban morning ke 11 waje se lekar 1 waje tak website band rahi.

Iska reason tha ki website coding mai gadbad ho gayi thi, aur mujhe tab pata laga jab mujhe ek student ka message aya ki website nahi chal rahi.

Maine turant dekha ki website coding mai gadbad hone ke karan yeh sab kuch hua hai.

2 ghante website band rehne ke karan takreeban 1000 users bina kuch website par dictations kiye hai wapis chale gaye.

Tabhi se mai website ko lekar thoda serious rehta hoon aur daily ise check karta rehta hoon taki koi problem naa ho sake.



Steal Dictations from Website



Ek din mujhe bahut hairani hui jab  kisi student ne bataya ki sir apki website se dicatation chori karke youtube channel par upload ki jaa rahi hai.



Youtube Channel



Mere ek student ne video par comment bhi kiya hua hai. Maine kaha kisi ki copy ki hui koi bhi cheez zyada der tak nahi chalti. Aur aisa hi hua kuch der baad yeh channel bilkul hi band ho geya.


Mai chahta toh is par action le sakta tha, kyunki agar aap Internet ki duniya mai koi bhi cheez dusri ki website se copy karke daal rahe ho chahe woh youtbe kyu naa ho.

Us par action liya jata hai, iski wajah se apka youtube channel hamesha ke liye band ho sakta hai. 

Isliye kabhi bhi website se kuch bhi copy karne ki koshish naa kare, agar apke paas talent hai toh khud ke dum par apna brand banaye.

Naa jane aise kitne hi whatss app group, telegram mai groups banakr outlines screenshot lekar upload kiye jaa rahe hai.

Par unko yeh nahi pata woh apne aap hai yahan se material chori karke website promotion kar rahe hai, aur isi wajah se daily users increase ho rahe hai.


Punjabi Shorthand Contributors



Jinhone webiste banane mai aur mujhe yahan tak pauchane mai meri help ki hai unke name mention kiye bina mai reh nahi sakta.

Kyunki har cheez ke peeche kisi na kisi ka haath hota hai chahe woh kitna bhi chota ya bada insaan kyu naa ho.


Pawan Sharma - Expert Court and Punjab Govt. Stenographer
Amandeep Kaur- Stenographer
Sarbjeet Singh- Junior Scale Stenographer
Anuwantpal Singh - Adviser



Punjabi Shorthand 2nd year success story apko sab kuch details mai bataya geya hai ki is beech maine website par kya kya kaam kiya. 



Thank You 

Waheguru

Post a Comment

Previous Post Next Post