Pichle kafi months se newspaper mai maine bahut suicide death ke baare mai pad raha hoon. Bahut se students exam mai fail hone ke karan suicide kar lete hai.



Unke mind mai yeh baat hoti hai ki hum exam paas nahi kar paye, aur fail ho gaye.

Unka fail hone mai itna darr lagta hai ki log unke baare mai kya sochenge, unke baare mai kya kahenge... isse yeh sabit hota hai ki unko apni nahi zyada dusron ki fikar hai.

Iska sidha matlab yeh nikalta hai woh apne liye nahi dusron ko dikhane ke liye exam paas karte hai, aur jab woh aisa nahi kar paate woh apni life khatam kar dete hai.


Par aisa karne se aap apne parents ki life zarur khatam kar dete ho..... Jo ki aisa hame kabhi nahi karna chahiye.



Exams ko seriously le par itna serious nahi ki aap apni life hi khatam karde, apko success milegi kyunki aacha hone mai kuch waqt lagta hai......



Demotivate Reasons

1. Mind Set up Naa Karna



Aap jis cheez ko pana chahte hai pehle usko apna aim banale ki mujhe yeh karna hai, chahe aap jitni marzi baar niche girien..

Mind set up karne se aap exam ko pass karne ke liye hamesha tayar rahenge. Apka dhyan idhar udhar nahi jayega, kyunki apka mind exam pass karne ke baare mai hi sochega.

Jab aap ek cheez ke baare mai soch lete hai toh aap bhi kisi ki bhi naa sune, kyunki apke andar se awaaz aati hai ki mai isme apna 100% de sakta hoon. 

Kyunki apke paas success hone ka bas ek hi raasta hai aur jab tak aap usme mehnat nahi karenge woh cheez apko nahi mil sakti.

Isliye mind set karna bahut zaruri hai demotivate se bachne ke liye..


2. Negative Thoughts Aane



Human mind mai ek din mai takreeban 6000 negative thoughts aate hai according to science. Jo cheez hui bhi nahi hoti uske baare mai bhi mind pehle hi sochne lagta hai.

Negative thoughs aane ka reason yeh hota hai ki aap os cheez ke baare mai soch rahe ho, apko lagna lagta hai ki yeh hum nahi kar payenge, humse nahi hoga etc etc...



Aisa sochne se negativity thoughts apke upar haavi hone lagte hai, aur aap ne jo bhi practice ki hoti hai woh bhi waste ho jaati hai, kyunki apke mind mai only negativity hoti hai positvity nahi.

Isliye negativity ko door karke hamesha positive socho, jisse apka mind hamesha positive rahe..

Negative sochne se aap tension, depression, Bp, jaisi related bimari mai pad jayenge.. aur apna mind set up nahi kar paenge.

3. Time waste Karna





Time kitna keemti hai aaj ke time mai yeh aaj kal har koi jaanta hai. Par ise  har koi consume nahi kar paata. Time ki value hame Bill Gates se sikhni chahiye. 

Bahut se students exam se pehle time waste karte rehte hai. Like facebook, instagram, twitter, tik tok etc.... yeh sabhi apps apka time consume karti hai aur kuch nahi.. Yeh apko entertainment kar sakti hai par apko life mai success nahi dilwa sakti. Isliye inse door rahe.


Apki friends only apki book honi chahiye jisne apko life mai success dena hai. Apne apna valueable time kahan consumer karna hai yeh apne dekhna hai.




Faltu ki cheezon ko ignore kijiye aur apna keemti time ko right direction mai lagaye.


आपको समय बर्बाद करने पर रिफंड नहीं मिलता है


4. Practice Kam Karna 


Shorthand mai only 40% students hi sahi practice karte hai, baki students isko kismat ke upar chord dete hai ki kismat mai leekha hoga toh mil jayegi nokri... nahi toh naaa c...


Yehi soch unko aage jakar bahut bhaari padti hai, woh isi soch ke karan practice nahi karte aur sab kuch ek miracle ke upar depend kar dete hai..... bina mehnat kiye competition mai bethna bilkul waisa hi hai jaise bina petrol daale bike chalana......


Practice karke hi apko pata chalega ki aap kitne paani mai hai.. agar aap practice hi nahi karenge toh apko kabhi pata nahi chalega ki apki kitni kabliyat hai exam pass karne ke liye.


Practice Kam Karne Ke Reasons↓



  • Over Confidence Hona
  • Mujhe Sab Aata hai
  • Shorthand Exam ko seriously Naa Lena
  • Apna time fazool cheezo par waste karna
  • Shorthand ko aim samaj kar nahi karna
  • Khud par yakeen naa hona ki mai kar sakta hoon
  • Shorthand ko time kam aur apne upar time waste zyada karna
  • Mobile over use karna
  • Social networking ko zyada time dena
  • Negative sochte rehna
  • Kismat par depend ho jana
  • Kuch der padna aur phir kuch sochne lagna
  • Apne gareeb hone kaa bahana karna
  • Bhagwan ko dosh dena ki mujhe ameer kyu nahi banaya
↑Please aise reasons ko apne life mai se delete karde


5.  Compare Karna Dusron ke Saath

Aaj kal toh trend hi chal pada hai har student apne aap ko dusron ke saath compare karne laga hai

Uski toh bahut speed hai, uski toh shorthand bahut vadiya, iske paas toh bahut paisa nahi bhi laga toh kuch naa kuch karlega...

Aur phir usko apne saath compare karke dekhna ki mera kuch naa bana toh mai kya karunga...

Yeh sab kuch apka time consume karti hai aur kuch nahi, aap jitna sochte jaoge utna hi aap sabse piche hote chale jaoge.

Mere bhi kuch friends aisi hi apne aap ko compare karte they, aur aaj  tak woh life mai kuch nahi ban paye...


Kyunki unko apni life dusron ke saath compare karke zyada aacha feel hota tha..

Study ke related kabhi bhi aap apne aap ko dusron ke saath compare bilkul naa kare, isme aap hi kaa nuksaan hai.


I hope apko samaj aa geya hoya ki demotivate hone ke kya reason hote hai, aisi information ko aap apne friends mai bhi share kare.

Post a Comment

Previous Post Next Post