Pichle 6 months mai mere pass bahut si students ki e-mail aayi jisme bahut se students ne apni baat kahi  ki sir humse speed nahi nikal rahi, accuracy in shorthand, confusion shorthand forms, negativity, depression job na lagna....etc etc.



Positive na rehna har waqt, shorthand ko seriously na lena etc..

Maine yeh sabhi problems ko dekhte huye sabhi students ko hamesha motivate karne ki koshish ki hai.

Mai aaj isko lekar aap logo hamesha shorthand mai motivate rehne ke liye salaah dunga.

Jisse aap shorthand ko bojh samaj ke nahi balki apni aadat banakar practice karenge.


1. The Right Start



Shorthand ko shuru karne se pehle apne mind ko bilkul clear karle ki yeh bilkul different subject hai , isme apko apna mind bilkul sharp rakhna hoga.

Apne aap ko har waqt motivate rakhna hoga ki hum ek bilkul different language seekh rahe hai, jisse seekh kar hum apna career aur Govt. Deptt work ko bahut hi fast tareeke se kar sakte hai.

Apne dimag se tension, nervousness, depression, negativity yeh sabhi bhool kar hi aap shorthand career ko choose kare.


Isme apko bahut struggle, mehnat karni padegi nokri lene ke liye, jaise jaise aap shorthand karte jayenge yeh apko easy lagni lag jayegi.


Koi bhi ek din mai success nahi hota, har cheez hone mai  time lagta hai,  bas aap apni mehnat karte rahe safalta ek din apke kadam zarur chumegi.

2. Correct Habits Vital

Shorthand ek aadat wala subject hai, aap jaise iski outlines ki aadat dal lenge aap phir hamesha waise hi leekhenge.


ਸ਼ਾਰਟਹੈਂਡ ਇਕ ਆਦਤ ਬਣਨ ਵਾਲਾ ਅਧਿਐਨ ਹੈ

Isiliye aap kabhi bhi galat outline ki aadat naa dale, yeh agey jakar apko bahut takleef degi. Galat methods shorthand mai use karna apko shorthand mai success nahi dalwa sakta.

Mai apko apne friend sarabjeet Singh ki example dena chahta hoon, Isne shuru se hi Punjabi shorthand ( Kartar Singh) book ko bilkul sahi methods se kiya.


Jaisa book mai grammalogues, contractions, shorthand forms thi bilkul waise hi kiya.... 

Sarabjeet Singh ne ek saal mai shorthand ke 3 paper pass karke apne naam 3 Govt. Jobs karli.


Isiliye hamesha shorthand forms ko bilkul correct leekhe, agar aap kisi bhi outline ko apne method se leekhte hai toh agey se hamesha wohi outline leekhe.

Yeh nahi ki aaj ek outline leekhi aur kal koi aur, aisa karne se aap ka hi nuksaan hai. 


Ek baar galat method ki aadat pad gayi toh aap sari life woh outline waise hi leekhenge, isiliye hamesha correct outline leekhe.


ਤੁਹਾਡੇ ਵਿੱਚ ਹਰ ਕਦਮ ਬਹੁਤ ਹੀ ਧਿਆਨ ਨਾਲ ਵਿਚਾਰ ਕੀਤਾ ਜਾਣਾ ਚਾਹੀਦਾ ਹੈ, ਤਾਂ ਕਿ ਸਹੀ ਆਦਤਾਂ ਸ਼ੁਰੂ ਵਿਚ ਹੀ ਹਾਸਲ ਕੀਤੀਆਂ ਜਾ ਸਕਣ, ਇਕ ਵਾਰ ਪੱਕੀਆਂ ਹੋ ਗਈਆਂ ਆਦਤਾਂ ਨੂੰ ਦੂਰ ਕਰਨਾ ਅਸੰਭਵ ਹੈ.

3. Light Touch for Increase Speed

Shorthand speed increase karne ke liye hamesha light touch dena hai apko, pen ko light pakadna hai, maine yeh line apne pichle articles mai bhi batayi aur aaj bhi bata raha hoon.


ਕਾਗਜ਼ ਉੱਤੇ ਕਲਮ ਜਾਂ ਪੈਨਸਿਲ ਦੀ ਇੱਕ ਹਲਕੀ ਛੋਹ ਤੇਜ਼ ਗਤੀ ਲਈ ਜ਼ਰੂਰੀ ਹੈ. ਭਾਰੀ ਅਹਿਸਾਸ ਦੀ ਵਰਤੋਂ ਕਰਨ ਦਾ ਮਤਲਬ ਹੈ  ਕਲਮ  ਦੀ ਸਾਰੀ ਲਚਕਤਾ ਨੂੰ ਖਤਮ ਕਰਨਾ ਅਤੇ ਇਹ ਗਤੀ ਨੂੰ ਵੀ ਰੋਕਦਾ ਹੈ ਅਤੇ ਗ਼ਲਤਤਾ ਵੱਲ ਜਾਂਦਾ ਹੈ. ਇੱਕ ਸਪਸ਼ਟ, ਨਿਸ਼ਚਤ ਰੂਪ ਰੇਖਾ ਬਣਾਉਣ ਦੀ ਜ਼ਰੂਰਤ ਤੋਂ ਵੱਧ ਮਿਹਨਤ ਕਰੋ.

4. Confusion Shorthand Outlines

80% Students apne leekhi hoyi shorthand ko lekar confuse rehte hai, dictation lekar apni leekhi huyi shorthand ko read nahi kar pate ki humne kya leekha tha.

Shorthand Dictation leekhe waqt apna mind bilkul sharp rakhe taki aap jo bhi outline paa rahe hai woh baad mai apko yaad rahe.

Agar apne galat bhi daal di tab bhi apko yaad rehni chahiye ki humne kya leekha tha.

Practice time dictation leekhne ke baad apne saath ek rough register rakhe, jo bhi outline galat padti hai usko ek register mai note karle aur bar bar uski practice kare. 



ਗਲਤ ਰੂਪਰੇਖਾ ਬਣਾਉਣਾ ਜ਼ਿਆਦਾਤਰ ਆਦਤ ਦਾ ਵਿਸ਼ਾ ਹੈ. ਇਹ ਸਹੀ ਹੈ ਲਿਖਣ ਦੀ ਆਦਤ ਨੂੰ ਹਾਸਲ ਕਰਨਾ ਉਨਾ ਅਸਾਨ ਹੈ ਜਿੰਨਾ ਇਹ ਗਲਤ ਲਿਖਣਾ ਹੈ,ਸ਼ਬਦਾਂ ਨੂੰ ਗਲਤ ਤਰੀਕੇ ਨਾਲ ਪਾਰ ਕਰਨ ਵਿਚ ਸਮੇਂ ਦਾ ਨੁਕਸਾਨ ਲਿਖਿਆ ਕਈ ਸ਼ਬਦਾਂ ਨੂੰ ਸਹੀ ਤਰ੍ਹਾਂ ਲਿਖਣ ਦੇ ਬਰਾਬਰ ਹੈ

5. Don't Demotivate




Apko demotivate hone ki zarurat nahi hai, jab tak apki job nahi lag rahi aap koi private job bhi kar sakte hai apni daily need poori karne ke liye.


Maine bhi 3 saal private job ki hai aur saath mai shorthand ki tyari karta geya din raat yeh sochkar ki ek din toh nokri mil jayegi.


Maine 8 se 4 baje tak private job aur beech break ke time bhi shorthand karta rehta tha, free time mai outline practice karta tha taki mai har outline mai perfection hasil kar saku.

Practice kar kar apne aap ko itna perfect kar liya tha ki koi bhi language easy pick karne lag geya tha, aur shorthand mujhe A,B,C,D lagne lag gayi thi. 

Apko demotivate hone ki zarurat nahi hai, aachi cheeze hone mai thoda waqt toh lagta hai. Agar apko ek dum woh cheez mil jaye shayad aap Job ki kadar naa kare. 


6. Don't Take Tension During Fail in Shorthand Exam.




Fail words sunne mai apko andar se demotivate kar dega aur apki himmat bhi tod sakta hai.

Mai bhi shorthand exam mai bahut baar fail hua hoon, par maine himmat nahi hari, mai phir se tyari karna shuru kar deta tha.



Aaj kal bahut students fail hone ke karan demotivate, depression, nervousness, tension, suicide ka karan bante hai.

Unko yeh lagne lag jata hai ki bas fail ho gaye life khatam hai, par woh yeh bhool jate hai ki life unka imtehaan le rahi hai.

Life mai hamesha ek baat yaad rakhe ki apki life mai jo bhi ho raha hai aacha ya bura usme apka experience ho raha hai. Aap kabhi bhi apna future nahi dekh sakte, jab apki nokri lag jayegi aur jab aap piche mud kar apni life ko dekhoge toh ek ek karke sabhi dots jud jaenge. Tab apko pata lagega ki mere saath life mai jo bhi hua aacha hi hua.

7.  Learn from Your Mistakes

Apni galtiyan se seekhe ki hum shorthand mai kya galat kar rahe hai jisse hum leekh nahi paa rahe. 

Iske reasons maine apko niche details mai diye hai.


  • Dication pick naa kar pana
  • Practice ki kami hona
  • Outline galat paana
  • Shorthand ko mazak mai leekhna
  • Pen ko tight pakadna
  • Concentration naa rakhna
  • Dictation leekhte waqt pen ghumate rehna
  • Shorthand ko bojh samajna
  • Shorthand ko serious kam aur Govt. pay ke baare mai sochna



Niche Comment section mai aap kuch bhi pooch sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post