How to Increase Typing Speed, yeh problem bhi bahut se newbies ko aati hai jab woh typing mai new hote hai aur yeh sochte rehte hai ki kaise typing speed increase kare.





Jab koi student typing shuru karta hai uske mind mai aksar yeh hota hai bas jaldi jaldi meri speed 30 wpm to 50 wpm ke beech ban jaye. 

Jab unki typing speed increase nahi hoti toh woh demotivate hokar  typing chor dete hai.


Aur bhi bahut se reasons hai jinki wajah se students demotivate hote hai, jitna maine aaj tak dekha hai apni life mai.

Toh chaliye mai apko guide karta hoon ki kaise aap apni typing speed increase kar sakte hai.



1. Starting mai type slow kare.





Starting mai jab aap typing shuru karte hai chahe woh computer/machine hai isse koi fark nahi padta ki aap typing kis par kar rahe hai. 

Sabse pehle apne hand ko bilkul slow slow chalana shuru kare jab tak apko practice kar ke sare words apke hand par naa chad jaye. 

Starting mai apko koi jaldbaazi nahi karni hai bilkul slow type karni hai jab tak aapko sabhi words yaad nahi ho jate ki is key par yeh finger paani hai. 




Type ko itni perfection ke saath karna hai apko backspace maarne ki zarurat hi naa pade. 

Aisa karne se apki accuracy and speed dono niklengi, kabhi bhi speed ke baare mai naa soche. Yeh automatic ayegi apko pata bhi nahi chalega.



2. Body Posture Correct Rakhe

Typing karte waqt apko apna body posture bilkul correct rakhna hai yeh nahi ki aap kisi bhi body angle mai type karne lag gaye, aisa karne se apki typing speed kabhi nahi increase ho sakti. Aur aap bahut hi jaldi thak jayenge.



Type karte waqt apke pair hamesha zameen par lage rehne chahiye.

Agar aap type bahut hi un-comfortable way se karenge toh apki typing speed par bahut fark padega, kyunki apka body posture theek nahi hai.




Type karte waqt apko bilkul seedhe bethna hai jaise ki maine upar picture mai apko show kiya hai. 

Apne hand ko apko kaise rakhna hai aap upar dekh sakte hai.


3. Kabhi bhi apni speed se zyada type karne ki koshish naa kare.


Bahut se students speed increase karne ke chakar mai, fast type karna shuru kar dete hai aur galat hi words ko paate rehte hai. Unko yeh lagta hai fast fast type karke woh zyada speed increase karlenge

Par aisa karne  se unka khud ka nuksaan hota hai ek toh unko aadat galat pad jati hai aur dusra woh niraash ho jate hai speed ko lekar.

Iski wajah se unko mind mai yeh rehta hai ki speed increase nahi ho sakti.

Isiliye hamesah type ko slow hi kare, kabhi bhi speed ke chakar mai fast karne ki koshish naa kare. 

Slow speed se hi aap high speed par jayenge. Kabhi bhi suddenly high speed par nahi jaa sakte.


4. Practice Different Matters

Maine starting mai ek bahut bdi galti ki thi ki mai ek hi matter se type karta raha, ek hi book se type kar kar ke meri speed toh increase ho gayi thi.

Par mujhe different matters ki practice nahi thi jaise, newspaper, judgments, magazines...

Kyunki jab aap ek hi matter ko bar bar type karte hai woh matter automatic apke hand par chad jata hai aur usme apki speed increase honi shuru ho jati hai aur mere saath bhi aisa hi hua.

Jab paper mai mujhe newspaper jaise matter type karne ko aa geya, toh meri speed nahi nikal payi aur mai fail ho geya.

Hamesha different books, magazines, newspapers, court judgments ya phir online matter se aap practice kare.

Aisa karke apko different matters ki practice ho jayegi aur apka hand har matter type karne mai perfect ho jayega jo apko competition mai success dilwa sakta hai.


5. Type One Chapter Again and Again


Typing Speed increase karne mai ek aur bada fact yeh hai aap ek hi chapter ko bar bar type kare isse apki speed automatic increase hone lag jayegi. 

Meri suggestion yeh hai ki aap ek chapter ko 8 times type kare, jab aap aisa karne lag jayenge toh apka hand bilkul perfect ho jayega.

Apko yeh sochne ke liye rukna nahi padega ki yeh words kon se key par pena hai. 



Jab aap ek chapter ko 8 times type karle toh phir uske baad aap next chapter shuru kare. 

Aisa day by day kar ke apko apni speed par automatic farak padne lag jayega.


Maine bhi apni speed isi tarah increase ki thi, Maine aisa karke 30 wpm speed se 55 wpm speed tak paunch geya tha.

Isse apki accuracy bhi niklegi, aur apko apne upar confidence bhi badne lagega.


6. Type Shuru karne se pehle yeh line type kare.

Typing shuru karne se pehle apko yeh line zarur type karni hai jo maine apko niche de rakhi hai isme english ke saare alphabet cover ho jate hai.

Iska benefit yeh hota hai ki apko english alphabet saare remind ho jate hai. Mai hamesha type shuru karne se pehle yeh line type karta tha. 


"The quick brown fox jumps over the lazy dog"


7. Hesitation



Hesitation ki wajah se exam mai bahut student fail hote hai, jab instructor unko yeh kehta hai ki start.

Uske baad hi 50% students hesitation hone lagti hai ya phir unki fingers kampna shuru kar deti hai.

Aisa karne ke reasons maine niche describe kiye hai.


  • Practice ki kami
  • Apne aap par confidence naa hona
  • Dusron ke baare mai sochna
  • Mind mai negativity aana
  • Dusron ki typing speed dekhna
  • Concentration se type naa karna
  • Typing ki proper tyari naa karna
  • Apne pair zameen par naa lagana
  • Typing ko over confidence se Lena
  • Speed ki kami hona
  • Exam ko seriously nahi lena
  • Dursron ka mazak udana ki meri itni speed hai teri kitni hai
  • Social Networking par golden time waste karna
  • Mobile par time waste karna



Maine apni life mai yeh sabhi points ko aachi tarah se analyse kiya hua hai, yeh sabhi reasons hote hai jisse students ko hesitation hoti hai aur woh exam mai fail ho jate hai.

Agar aap bhi yeh sabhi cheeze kar rahe hai toh aaj se hi band karde.


8. Concentration

Typing karte waqt concentration hona bahut zaruri hai agar apki concentration hi nahi toh apki speed nahi nikal sakti.

Agar aap book mai se type kar rahe hai toh apka poora dhyan book par hi hona chahiye, agar aap online type kar rahe hai toh apka poora dhyan computer screen par hona chahiye.

Aisa karne se apki dhyan kabhi bhi idhar udhar nahi jaega aur apko sari concentration type par rahegi.

Yaad rakhe ki kabhi bhi type karte waqt keyboard ki taraf nahi dekhna, kyunki aap jitni baar keyboard ki taraf dekhne utni baar apki speed kam hoti rahegi.

Hamesha type karte waqt apni concentration apne nishaane ki taraf hi honi chahiye.


9. Bar Bar Backspace Use Karna

60% Students bar bar backspace use karke apni speed ko khud hi kam kar lete hai. 

Aap jitni bar type karte waqt backspace use karenge utni hi apki typing speed kam hoti rahegi.

Bahut se students exam se pehle isliye befikar ho jate hai unko yeh lagta hai ki backspace use karke hum apni mistake ko bacha sakte hai.

Par woh yeh bhool jate hai aap jitni backspace use kar rahe hai utna hi apka time waste aur speed kam hoti jaa rahi hai.


Example

ਦੋ ਬੱਸਾਂ ਸੜਕ ਤੇ ਜਾ ਰਹੀਆਂ ਹਨ ਇਕ ਬੱਸ ਬਹੁਤ ਤੇਜ਼ ਜਾ ਰਹੀ ਹੈ ਤੇ ਥੋੜ੍ਹੀ ਦੇਰ ਪਿੱਛੋ ਬਰੇਕ ਮਾਰ ਰਹੀ ਹੈ ਅੱਗੇ ਨਿਕਲਣ ਲਈ ਪਰ ਉਹ ਬਰੇਕ ਮਾਰ ਕੇ ਉਹੀ ਸਪੀਡ ਤੇ ਆ ਜਾਂਦੀ ਹੈ।
(Two buses are going on the road. One bus is going very fast and after a while it is braking to go ahead but it brakes and comes at the same speed.)

ਦੂਸਰੀ ਬੱਸ ਹੋਲੀ ਜਾ ਰਹੀ ਹੈ ਇਕੋ ਸਪੀਡ ਤੇ ਚਲ ਰਹੀ ਹੈ ਕਿਉਂਕਿ ਉਹ ਕੋਈ ਬਰੇਕ ਨਹੀਂ ਮਾਰ ਰਹੀ.
(The other bus is moving at the same speed because it is not taking any breaks).

Typing v bilkul isi tarah hai aap bas slow slow type karte rahe bina brake maare, apko pata bhi nahi chalega ki apki typing speed kab increase ho gayi.


10. Accuracy/Speed

Typing mai Accuracy and speed ko apko ek saath lekar chalna hai agar apke paas yeh do cheeze hai toh apko typing mai job lene se koi nahi rok sakta.

Bahut se student ke paas speed toh hoti hai par accuracy nahi hoti jiski wajah se woh paper mai maar khate hai.

Typing ko hamesha yeh dono cheeze mind mai lekar chale ki humko accuracy bhi nikalni aur speed bhi.




Agar apko Typing ya shorthand related koi bhi jankari chahiye aap niche comment kar sakte hai, apko yeh article kaisa laga niche comment kar sakte hai.

9 Comments

  1. Sir mne abhi bs start hi kiya h m

    ReplyDelete
  2. Hi
    Aaj meri net speed 14wpm hai, meri accuracy 96-100% hai
    ek month mein meri speed 30wpm karne ke liye mujhe daily kitna time practice karni chahiye? Kitna time break Lena chahiye? Please suggest

    ReplyDelete
  3. Dear jaise aapne 14 wpm ki speed gain ki hai theek waise hi 30 wpm speed par aap paunch jayenge, uske liye apko one paragraph ko 7 to 10 times repeat kare, uske baad phir next paragraph par jaaye.... din mai aap one hour morning and one hour shaam ko lagaye bas...

    ReplyDelete
  4. Accuracy par apka main focus hona chahiye speed apne aap aa jayegi apko pata bhi nhi chlega..

    ReplyDelete
  5. Sir mai ek paragraph ko 10 times likhta hu
    ..pr koi na koi word glt ho hi jata hai...uska kya kru

    ReplyDelete
  6. Jo word galat leekh rahe hai , means ki woh wali finger sahi se nhi pae rhi, us finger ki practice kare..

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post