Confusion in Punjabi Shorthand Words  ਦਾ, ਦੇ, ਦੀ iski mistakes toh 99% students ki hoti hai punjabi shorthand mai. 




Meri bhi hoti thi aur iski wajah se mai bahut baar merit mai piche bhi raha hoon. Mai nahi chahta ki aap bhi aisi mistake kare aur paper mai merit mai piche reh jaye.

Aaj mai iske upar apni suggestions dena chahta hoon ki kaise aap ਦਾ, ਦੇ, ਦੀ ki mistakes ko control kar sakte ho.

Mere bhi pehle inn words mai bahut mistakes hoti thi aur mai bar bar inn words ki galat read karta tha.. 

jab aap apni leekhi huyi shorthand ko read karte hai toh type karte waqt bhi aap wohi leekhte hai..

Agar hum inn words ko control karle toh hamari shorthand mai kafi improvement ho sakti hai, kyunki aise words punjabi shorthand likhte waqt end point par use hote hai.. jaise ਇਸ ਦਾ, ਉਸ ਦਾ, ਬਣਾਉਣ ਦਾ, ਨਿਰਮਾਣ ਦਾ, ਦੇਸ਼ ਦਾ etc......

Toh chaliye mai apko details mai guide karta hoon ki kaise hum apni mistake ko control kar sakte hai..


1. ਦਾ






ਦਾ word punjabi mai bahut words ke naal aata hai  hum speed mai, word ki outline ke saath hi isko paa dete hai chahe woh baad mai hum galat hi kyu naa read kare.


Yaad rakhe ki shorthand mai ek ek character ki importance hai chahe woh outline kitni bhi easy kyu naa ho.

Mai apko iski kuch examples dene wala hoon jaise.

ਇਸ ਦਾ, ਉਸ ਦਾ, ਬਣਾਉਣ ਦਾ, ਘਰ ਦਾ

Apne jab bhi  ਦਾ lagana hai kisi bhi words ke saath toh hamesha aise lagaye ( Shown in picture), aise aap kabhi bhi confuse nahi honge aur kabhi bhi mistake nahi hogi.

ਦਾ  apko aise hi likhna hai apko koi bhi vowel put nahi karna hai.

2. ਦੇ






ਦੇ word bhi bahut se words ke saath aata hai shorthand likhte time, aur speed par jaldi jaldi mai word paa dete hai.

Aisa kya kiya jaye ki hume kabhi bhi iski confusion naa ho? kya aisa kisi ne socha hai .. kaise hum ek tick lagakar word ko read kar sakte hai.

(ਦੇ) word mai hum kabhi confuse naa ho.. iske liye maine ek vowel lagaya hai ki aap jab bhi (ਦੇ) word  kisi word ke saath use kare toh hamesha vowel lagaye.


Aisa karke aap kabhi bhi mistake nahi karenge.

ਇਸ ਦੇ, ਉਸ ਦੇ, ਕਿਸ ਦੇ, ਬੇਰੁਜ਼ਗਾਰੀ ਦੇ, ਦੇਸ਼ ਦੇ.... 

ਦੇ ki tick aap jab bhi kisi word mai lagaye toh second place par vowel put karde bas. Aisa karke aap kabhi bhi word ko galat read nahi karoge.


3. ਦੀ



ਦੀ word takreeban end mai aata hai toh kayi baar hum jaldi jaldi mai read nahi kar paate humne ਦਾ, ਦੇ ,  ਦੀ ਲਗਾਇਆ ਹੈ ? Aur aisa karke hum bar bar word ko galat hi read karte rehte hai.

Andaze se word read karte hai ki yeh word hi hoga.. Shorthand ko hamesha correct hi likhe bina kisi confusion se.

ਦੀ tick mai aap hamesha third place par vowel place kare. Aisa karke aap apni mistake ko kam kar sakte hai. 

Bahut se students takreeban aise words ko galat read and galat type karte hai...

Maine jaise upar bataya hai aap bhi waise kar sakte hai, jab maine yeh tareeka apnaya tha toh meri kabhi bhi aisi mistake nahi huyi thi.





I hope apko samaj aa geya hoga ki kaise hum ਦਾ, ਦੇ ,  ਦੀ ka sahi jagah use karke apni shorthand mistakes ko kam kar sakte hai. 
Niche comment section mai aap Punjabi shorthand related koi bhi jankari le sakte hai.

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post