Kaise-Mr-Bunberry-Ne-250wpm-Ki-Speed-Banayi

Doston mai aaj apse Mr. George W Bunberry jo ek England ke stenographer they ki baat karne ja rahah hoon jinhone ne English shorthand mai Isaac Pitman Certificate 250 words per minute ka record banaya tha. Unhone ne yeh speed kaise banayi unki jankari mai apse share karne wala hoon.

How He Attained It Higher Speed

Mr. Bunberry kehte hai ki unhone ne pehli hi 230 words per minute certificate win kiya hua hai te ab unhone 250 wpm minute ke liye competition ladkar certificate win karna hai. Bunberry kehte ki 1893 April mai maine phir se tayari karne shuru kar di thi. Mai practice karta geya par maine apni speed ke saath koi samjota nahi kiya. Mai speed ke chakar mai galat underlines nahi pata tha. 

Mai shorthand ke character bilkul correct pata tha ki aur mai isi tarah practice karta raha. Bunberry  jis Magazine mai  se practice karte they uska naam  (Strand Magazine) adventure book etc. 


Bunberry kehte mai ek article pick karta tha usko marking karke record kar leta tha 235wpm par likhne ke liye. Dictation likne ke baad jo bhi underline galat peti thi us mistake ko mai circle kar leta tha. 

Uske baad Bunberry jo underlines galat pate they usko ek small book mai note kar lete they aur jab bhi unhe job se fursat milti woh us underline ko baar baar likhte they. Jab tak woh underline unke hand par chad naa jaye. 

Continued Practicing Never Missing A Night

Aur next night phir wohi  dictation likhte they aur unhone dekha ki jo word mai galat pa raha tha woh aaj  sahi pae rahe hai. Aur woh isi tarah karte gaye.
Bunberry kehte mai roz raat ko same dication 2 weeks tak likhta tha aur har night meri speed increase ho rahi thi. Mai holi holi  speed increase kar raha tha woh yeh nahi chahte they ki woh  speed ke chakar mai words galat paye. Unko yeh yakeen ho geya tha ki repetition practice hi speed increase kar sakti hai.

Unhone ne ek rule bana rakha tha ki woh jo bhi dictation lete they uske baad woh unhe read karte they. Aisa karne se unko sab kuch easy lag raha tha. 

First Attemp But Fail

Bunberry continue practice kar rahe they bina night miss kiye woh bas (except) sunday. Saturday 8th December 1893 ko unka paper hua aur woh fail ho gaye. Kyunki unke transcription mai zyada mistake ho gayi thi. Woh kehte ki mai failure se discourage nahi hua mujhe aur energy mili apne goal par focus karne ki. Woh pehle se strong determination lekar practice karne lage.

Second Attemp But Fail

Unhone ne apni practice continue rakhi aur next paper  30th December 1893 ko hua. Is waar woh phir fail ho gaye. Kyunki woh transcribe nahi kar paye apni dictation ko machine par. 

Third Attempt Pass

Unhone himmat nahi hari ek baar phir practice ki Bunberry ne woh kehte ki is baar unhone ne koi zyada hard work nahi kiya. Unka yeh kehna tha ki woh may be zyada practice karke apni memory par zor daal rahe hai. 

In the end 10 January 1894 ko phir competition mai bethe aur is baar woh pass ho gaye. 


Conclusion



Mr. Bunberry ki determination dekh kar aap ko pata chal geya hoga ki halaat jo bhi hume kabhi bhi himmat nahi harni chahiye. Jis goal par apka focus hai bas us par lagatar koshish karte jaye chahe aap bar bar fail hi kyu na  hote rahe. Ek na ek din apko woh cheez mil hi  jayegi. 

Apko yeh jankari kaisi lagi niche  comment karke zarur bataye. Aur apne stenographer friends ko bhi share kare taki woh bhi motivate ho sake. 

2 Comments

  1. Very useful. haar ke age he jeet hai is li ghbaro na jis kaam k pise pd jaoge ik din jrur mil jata hai

    ReplyDelete
  2. yes every successful person de life ch mushkil aangia tusi bas apna focus rakho goal te. Tusi sarbjeet di story v read kar sakde ho motivation- https://www.punjabishorthand.com/2018/09/sarbjeet-singh-junior-scale.html

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post